mile na phul to kanTon se dosti kar li
mile na phuul to kāñToñ se dostī kar lī
isī tarah se basar ham ne zindagī kar lī
ab aage jo bhī ho anjām dekhā jā.egā
ḳhudā talāsh liyā aur bandagī kar lī
nazar milī bhī na thī aur un ko dekh layyā
zabāñ khulī bhī na thī aur baat bhī kar lī
vo jin ko pyaar hai chāñdī se ishq sone se
vahī kaheñge kabhī ham ne ḳhud-kushī kar lī
mile na phul to kanTon se dosti kar li
isi tarah se basar hum ne zindagi kar li
ab aage jo bhi ho anjam dekha jaega
KHuda talash liya aur bandagi kar li
nazar mili bhi na thi aur un ko dekh layya
zaban khuli bhi na thi aur baat bhi kar li
wo jin ko pyar hai chandi se ishq sone se
wahi kahenge kabhi hum ne KHud-kushi kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.