sansar se bhage phirte ho bhagwan ko tum kya paoge
sansār se bhāge phirte ho bhagvān ko tum kyā pāoge
is lok ko bhī apnā na sake us lok meñ bhī pachhtāoge
ye paap hai kyā ye punn hai kyā rītoñ par dharm kī mohreñ haiñ
har yug meñ badalte dharmoñ ko kaise ādarsh banāoge
ye bhog bhī ek tapasyā hai tum tyaag ke maare kyā jaano
apmān rachaitā kā hogā rachnā ko agar Thukrāoge
ham kahte haiñ ye jag apnā hai tum kahte ho jhūTā sapnā hai
ham janm bitā kar jā.eñge tum janm gañvā kar jāoge
sansar se bhage phirte ho bhagwan ko tum kya paoge
is lok ko bhi apna na sake us lok mein bhi pachhtaoge
ye pap hai kya ye punn hai kya riton par dharm ki mohren hain
har yug mein badalte dharmon ko kaise aadarsh banaoge
ye bhog bhi ek tapasya hai tum tyag ke mare kya jaano
apman rachaita ka hoga rachna ko agar Thukraoge
hum kahte hain ye jag apna hai tum kahte ho jhuTa sapna hai
hum janm bita kar jaenge tum janm ganwa kar jaoge
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 485)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.