zindagi jab bhi teri bazm mein lati hai hamein
zindagī jab bhī tirī bazm meñ laatī hai hameñ
ye zamīñ chāñd se behtar nazar aatī hai hameñ
surḳh phūloñ se mahak uThtī haiñ dil kī rāheñ
din Dhale yuuñ tirī āvāz bulātī hai hameñ
yaad terī kabhī dastak kabhī sargoshī se
raat ke pichhle-pahar roz jagātī hai hameñ
har mulāqāt kā anjām judā.ī kyuuñ hai
ab to har vaqt yahī baat satātī hai hameñ
zindagi jab bhi teri bazm mein lati hai hamein
ye zamin chand se behtar nazar aati hai hamein
surKH phulon se mahak uThti hain dil ki rahen
din Dhale yun teri aawaz bulati hai hamein
yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshi se
raat ke pichhle-pahar roz jagati hai hamein
har mulaqat ka anjam judai kyun hai
ab to har waqt yahi baat satati hai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.