sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha
sukūn-e-dil ke liye 'ishq to bahāna thā
vagarna thak ke kahīñ to Thahar hī jaanā thā
jo iztirāb kā mausam guzār aa.eñ haiñ
vo jānte haiñ ki vahshat kā kyā zamāna thā
vo jin ko shikva thā auroñ se zulm sahne kā
ḳhud un kā apnā bhī andāz jārihāna thā
bahut dinoñ se mujhe intizār-e-shab bhī nahīñ
vo rut guzar ga.ī har ḳhvāb jab suhānā thā
kab us kī fat.h kī ḳhvāhish ko jiit saktī thī
maiñ vo farīq huuñ jis ko ki haar jaanā thā
sukun-e-dil ke liye 'ishq to bahana tha
wagarna thak ke kahin to Thahar hi jaana tha
jo iztirab ka mausam guzar aaen hain
wo jaante hain ki wahshat ka kya zamana tha
wo jin ko shikwa tha auron se zulm sahne ka
KHud un ka apna bhi andaz jarihana tha
bahut dinon se mujhe intizar-e-shab bhi nahin
wo rut guzar gai har KHwab jab suhana tha
kab us ki fath ki KHwahish ko jit sakti thi
main wo fariq hun jis ko ki haar jaana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.