surKHiyan kyun DhunDh kar laun fasane ke liye
surḳhiyāñ kyuuñ DhūñDh kar lā.ūñ fasāne ke liye
bas tumhārā naam kaafī hai zamāne ke liye
maujeñ sāhil se haTātī haiñ habāboñ kā hujūm
vo chale aa.e haiñ sāhil par nahāne ke liye
sochtā huuñ ab kahīñ bijlī girī to kyuuñ girī
tinke laayā thā kahāñ se āshiyāne ke liye
chhoḌ kar bastī ye dīvāne kahāñ se aa ga.e
dasht kī baiThī-bi.Thā.ī ḳhaak uḌāne ke liye
hañs ke kahte ho zamāna bhar mujhī par jaan de
rah ga.e ho kyā tumhīñ saare zamāne ke liye
shaam ko aaoge tum achchhā abhī hotī hai shaam
gesuoñ ko khol do sūraj chhupāne ke liye
kā.enāt-e-ishq ik dil ke sivā kuchh bhī nahīñ
vo hī aane ke liye hai vo hī jaane ke liye
ai zamāne bhar ko ḳhushiyāñ dene vaale ye batā
kyā 'qamar' hī rah gayā hai ġham uThāne ke liye
surKHiyan kyun DhunDh kar laun fasane ke liye
bas tumhaara nam kafi hai zamane ke liye
maujen sahil se haTati hain hababon ka hujum
wo chale aae hain sahil par nahane ke liye
sochta hun ab kahin bijli giri to kyun giri
tinke laya tha kahan se aashiyane ke liye
chhoD kar basti ye diwane kahan se aa gae
dasht ki baiThi-biThai KHak uDane ke liye
hans ke kahte ho zamana bhar mujhi par jaan de
rah gae ho kya tumhin sare zamane ke liye
sham ko aaoge tum achchha abhi hoti hai sham
gesuon ko khol do suraj chhupane ke liye
kaenat-e-ishq ek dil ke siwa kuchh bhi nahin
wo hi aane ke liye hai wo hi jaane ke liye
ai zamane bhar ko KHushiyan dene wale ye bata
kya 'qamar' hi rah gaya hai gham uThane ke liye
- Book : Auj-Qamar (Pg. 66)
- Author : Ustad Sayed Mohd. Hussain Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat Ali And Sons (1952)
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.