su-e-mai-kada na jate to kuchh aur baat hoti
sū-e-mai-kada na jaate to kuchh aur baat hotī
vo nigāh se pilāte to kuchh aur baat hotī
go havā-e-gulsitāñ ne mire dil kī laaj rakh lī
vo naqāb ḳhud uThāte to kuchh aur baat hotī
ye bajā kalī ne khil kar kiyā gulsitāñ mo.attar
agar aap muskurāte to kuchh aur baat hotī
go haram ke rāste se vo pahuñch ga.e ḳhudā tak
tirī rahguzar se jaate to kuchh aur baat hotī
su-e-mai-kada na jate to kuchh aur baat hoti
wo nigah se pilate to kuchh aur baat hoti
go hawa-e-gulsitan ne mere dil ki laj rakh li
wo naqab KHud uThate to kuchh aur baat hoti
ye baja kali ne khil kar kiya gulsitan moattar
agar aap muskuraate to kuchh aur baat hoti
go haram ke raste se wo pahunch gae KHuda tak
teri rahguzar se jate to kuchh aur baat hoti
- Book : Junoon (Pg. 99)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.