tamam bojh kahan KHak-dan pe paDta hai
tamām bojh kahāñ ḳhāk-dāñ pe paḌtā hai
kabhī kabhī to qadam āsmāñ pe paḌtā hai
mujhe to peḌ kī chhāñv ne rok rakkhā hai
vagarna haath to abr-e-ravāñ pe paḌtā hai
ye tiir yuuñ hī nahīñ dushmanoñ talak jaate
badan kā saarā khichāo kamāñ pe paḌtā hai
tujhe zamīn ke baare meñ ilm hai to batā
is āsmān kā saaya kahāñ pe paḌtā hai
idhar maiñ paañv uThātā huuñ aur udhar 'gauhar'
ġhubār sā saf-e-sayyārgāñ pe paḌtā hai
tamam bojh kahan KHak-dan pe paDta hai
kabhi kabhi to qadam aasman pe paDta hai
mujhe to peD ki chhanw ne rok rakkha hai
wagarna hath to abr-e-rawan pe paDta hai
ye tir yun hi nahin dushmanon talak jate
badan ka sara khichao kaman pe paDta hai
tujhe zamin ke bare mein ilm hai to bata
is aasman ka saya kahan pe paDta hai
idhar main panw uThata hun aur udhar 'gauhar'
ghubar sa saf-e-sayyargan pe paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.