tang aaghosh mein aabaad karunga tujhko
tañg āġhosh meñ ābād karūñgā tujh ko
huuñ bahut shaad ki nāshād karūñgā tujh ko
fikr-e-ījād meñ gum huuñ mujhe ġhāfil na samajh
apne andāz par ījād karūñgā tujh ko
nashsha hai raah kī duurī kā ki hamrāh hai tū
jaane kis shahr meñ ābād karūñgā tujh ko
merī bāñhoñ meñ bahakne kī sazā bhī sun le
ab bahut der meñ āzād karūñgā tujh ko
maiñ ki rahtā huuñ ba-sad-nāz gurezāñ tujh se
tū na hogā to bahut yaad karūñgā tujh ko
tang aaghosh mein aabaad karunga tujh ko
hun bahut shad ki nashad karunga tujh ko
fikr-e-ijad mein gum hun mujhe ghafil na samajh
apne andaz par ijad karunga tujh ko
nashsha hai rah ki duri ka ki hamrah hai tu
jaane kis shahr mein aabaad karunga tujh ko
meri banhon mein bahakne ki saza bhi sun le
ab bahut der mein aazad karunga tujh ko
main ki rahta hun ba-sad-naz gurezan tujh se
tu na hoga to bahut yaad karunga tujh ko
- Book : gumaan (Pg. 142)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.