tere KHayal ka daman suKHan ne tham liya
tire ḳhayāl kā dāman suḳhan ne thaam liyā
firāq meñ bhī mohabbat se ḳhuub kaam liyā
hamārā ishq ibādat kā aglā darja hai
ḳhudā ne chhoḌ diyā to tumhārā naam liyā
ġhamoñ se bair thā so ham ne ḳhud-kushī kar lī
shajar girā ke parindoñ se intiqām liyā
bichhaḌ ke tum se ka.ī bichhḌe log yaad aa.e
diyā bujhā to inhīñ jugnuoñ se kaam liyā
nigāh-e-shauq kī aamad huī thī bastī meñ
har ek chāñd ne phir apnā apnā baam liyā
tere KHayal ka daman suKHan ne tham liya
firaq mein bhi mohabbat se KHub kaam liya
hamara ishq ibaadat ka agla darja hai
KHuda ne chhoD diya to tumhaara nam liya
ghamon se bair tha so hum ne KHud-kushi kar li
shajar gira ke parindon se intiqam liya
bichhaD ke tum se kai bichhDe log yaad aae
diya bujha to inhin jugnuon se kaam liya
nigah-e-shauq ki aamad hui thi basti mein
har ek chand ne phir apna apna baam liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.