tumne ye kya sitam kiya zabt se kaam le liya
tum ne ye kyā sitam kiyā zabt se kaam le liyā
tark-e-vafā ke ba.ad bhī merā salām le liyā
rind-e-ḳharāb-nosh kī be-adabī to dekhiye
niyyat-e-mai-kashī na kī haath meñ jaam le liyā
haa.e vo paikar-e-havas haa.e vo ḳhugar-e-qafas
bech ke jis ne āshiyāñ halqa-e-dām le liyā
bādā-kashān-e-ishq ko kuchh to milā pa.e-sukūñ
husn-e-sahar na le sake jalva-e-shām le liyā
nāma-e-shauq paḌh ke vo kho ga.e yak-ba-yak 'shakīl'
muñh se to kuchh na kah sake dil se payām le liyā
tum ne ye kya sitam kiya zabt se kaam le liya
tark-e-wafa ke baad bhi mera salam le liya
rind-e-KHarab-nosh ki be-adabi to dekhiye
niyyat-e-mai-kashi na ki hath mein jam le liya
hae wo paikar-e-hawas hae wo KHugar-e-qafas
bech ke jis ne aashiyan halqa-e-dam le liya
baada-kashan-e-ishq ko kuchh to mila pae-sukun
husn-e-sahar na le sake jalwa-e-sham le liya
nama-e-shauq paDh ke wo kho gae yak-ba-yak 'shakil'
munh se to kuchh na kah sake dil se payam le liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.