tumhaare baad raha kya hai dekhne ke liye
tumhāre baa'd rahā kyā hai dekhne ke liye
agarche ek zamāna hai dekhne ke liye
koī nahīñ jo varā-e-nazar bhī dekh sake
har ek ne use dekhā hai dekhne ke liye
badal rahe haiñ zamāne ke rang kyā kyā dekh
nazar uThā ki ye duniyā hai dekhne ke liye
zarā jo fursat-e-nazzārgī mayassar ho
to ek pal meñ bhī kyā kyā hai dekhne ke liye
guzar rahā hai jo chehre pe haath rakkhe hue
ye dil usī ko tarastā hai dekhne ke liye
nahīñ hai tāb-e-nazāra hī 'āftāb' husain
vagarna dahr meñ kyā kyā hai dekhne ke liye
tumhaare ba'd raha kya hai dekhne ke liye
agarche ek zamana hai dekhne ke liye
koi nahin jo wara-e-nazar bhi dekh sake
har ek ne use dekha hai dekhne ke liye
badal rahe hain zamane ke rang kya kya dekh
nazar uTha ki ye duniya hai dekhne ke liye
zara jo fursat-e-nazzargi mayassar ho
to ek pal mein bhi kya kya hai dekhne ke liye
guzar raha hai jo chehre pe hath rakkhe hue
ye dil usi ko tarasta hai dekhne ke liye
nahin hai tab-e-nazara hi 'aftab' husain
wagarna dahr mein kya kya hai dekhne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.