wasl ka mausam ho to ye sardiyan hi Thik hain
vasl kā mausam ho to ye sardiyāñ hī Thiik haiñ
hijr meñ qurbat kī ye parchhā.iyāñ hī Thiik haiñ
kyā batā.ūñ maiñ ki tum ne kis ko sauñpī hai hayā
is liye sochā mirī ḳhāmoshiyāñ hī Thiik haiñ
ishq se bezār dil ye chīḳh kar kahne lagā
ishq chhoḌo āshiqoñ tanhā.iyāñ hī Thiik haiñ
is qadar ham ho chuke rusvā vafā ke naam par
ab sharāfat chhoḌ dī bad-nāmiyāñ hī Thiik haiñ
aap ne chāhā judā.ī so alag ham ho ga.e
kyā kaheñ ab aap kī ye marziyāñ hī Thiik haiñ
ho na paa.e jab mukammal ishq kā qissa to phir
shohrateñ rahne do ab gum-nāmiyāñ hī Thiik haiñ
is se pahle ham judā hoñ kuchh bharam baaqī rahe
darmiyāñ ab talḳh sī ye dūriyāñ hī Thiik haiñ
bujh chukā jo kyoñ vo sulgā.ūñ mohabbat kā alaav
ab talak jhelī jafā kī saḳhtiyāñ hī Thiik haiñ
hai fasāna ishq kā Duubā hai sāhil ashk meñ
mere mazmūñ kā ye unvāñ talḳhiyāñ hī Thiik haiñ
wasl ka mausam ho to ye sardiyan hi Thik hain
hijr mein qurbat ki ye parchhaiyan hi Thik hain
kya bataun main ki tum ne kis ko saunpi hai haya
is liye socha meri KHamoshiyan hi Thik hain
ishq se bezar dil ye chiKH kar kahne laga
ishq chhoDo aashiqon tanhaiyan hi Thik hain
is qadar hum ho chuke ruswa wafa ke nam par
ab sharafat chhoD di bad-namiyan hi Thik hain
aap ne chaha judai so alag hum ho gae
kya kahen ab aap ki ye marziyan hi Thik hain
ho na pae jab mukammal ishq ka qissa to phir
shohraten rahne do ab gum-namiyan hi Thik hain
is se pahle hum juda hon kuchh bharam baqi rahe
darmiyan ab talKH si ye duriyan hi Thik hain
bujh chuka jo kyon wo sulgaun mohabbat ka alaw
ab talak jheli jafa ki saKHtiyan hi Thik hain
hai fasana ishq ka Duba hai sahil ashk mein
mere mazmun ka ye unwan talKHiyan hi Thik hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.