wo aur mohabbat se mujhe dekh raha ho
vo aur mohabbat se mujhe dekh rahā ho
kyā dil kā bharosā mujhe dhokā hī huā ho
hogā koī is dil sā bhī dīvāna ki jis ne
ḳhud aag lagā.ī ho bujhāne bhī chalā ho
ik niiñd kā jhoñkā shab-e-ġham aa to gayā thā
ab vo tire dāman kī havā ho ki sabā ho
dil hai ki tirī yaad se ḳhālī nahīñ rahtā
shāyad hī kabhī maiñ ne tujhe yaad kiyā ho
'zeb' aaj hai be-kaif sā kyuuñ chāñd na jaane
jaise koī TuuTā huā paimāna paḌā ho
wo aur mohabbat se mujhe dekh raha ho
kya dil ka bharosa mujhe dhoka hi hua ho
hoga koi is dil sa bhi diwana ki jis ne
KHud aag lagai ho bujhane bhi chala ho
ek nind ka jhonka shab-e-gham aa to gaya tha
ab wo tere daman ki hawa ho ki saba ho
dil hai ki teri yaad se KHali nahin rahta
shayad hi kabhi main ne tujhe yaad kiya ho
'zeb' aaj hai be-kaif sa kyun chand na jaane
jaise koi TuTa hua paimana paDa ho
- Book : zartaab (Pg. 236)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.