wo ek nam jo dariya bhi hai kinara bhi
vo ek naam jo dariyā bhī hai kinārā bhī
rahā hai us se bahut rābta hamārā bhī
chaman vahī ki jahāñ par laboñ ke phuul khileñ
badan vahī ki jahāñ raat ho gavārā bhī
hameñ bhī lamha-e-ruḳhsat se haul aatā hai
judā huā hai koī mehrbāñ hamārā bhī
alāmat-e-shajar-e-sāya-dār bhī vo jism
ḳharābi-e-dil-o-dīda kā isti.āra bhī
ufuq thakan kī ridā meñ lipaTtā jaatā hai
so ham bhī chup haiñ aur is shaam kā sitārā bhī
wo ek nam jo dariya bhi hai kinara bhi
raha hai us se bahut rabta hamara bhi
chaman wahi ki jahan par labon ke phul khilen
badan wahi ki jahan raat ho gawara bhi
hamein bhi lamha-e-ruKHsat se haul aata hai
juda hua hai koi mehrban hamara bhi
alamat-e-shajar-e-saya-dar bhi wo jism
KHarabi-e-dil-o-dida ka istiara bhi
ufuq thakan ki rida mein lipaTta jata hai
so hum bhi chup hain aur is sham ka sitara bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.