wo meri jaan ke sadaf mein guhar sa rahta hai
vo merī jaañ ke sadaf meñ guhar sā rahtā hai
meñ us ko toḌ na Dālūñ ye Dar sā rahtā hai
vo chehra ek shifā-ḳhāna hai mirī ḳhātir
vo ho to jaise koī chārāgar sā rahtā hai
maiñ us nigāh ke hamrāh jab se aayā huuñ
mujhe na jaane kahāñ kā safar sā rahtā hai
baḌā vasī' hai us ke jamāl kā manzar
vo aa.ine meñ to bas muḳhtasar sā rahtā hai
mirī zamīñ ko mayassar hai āsmāñ us kā
kahīñ bhī jā.ūñ mire saath ghar sā rahtā hai
wo meri jaan ke sadaf mein guhar sa rahta hai
mein us ko toD na Dalun ye Dar sa rahta hai
wo chehra ek shifa-KHana hai meri KHatir
wo ho to jaise koi chaaragar sa rahta hai
main us nigah ke hamrah jab se aaya hun
mujhe na jaane kahan ka safar sa rahta hai
baDa wasi' hai us ke jamal ka manzar
wo aaine mein to bas muKHtasar sa rahta hai
meri zamin ko mayassar hai aasman us ka
kahin bhi jaun mere sath ghar sa rahta hai
- Book : mai.n ronaa chaahtaa huu.n (Pg. 76)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.