ye kaun aaya shabistan ke KHwab pahne hue
ye kaun aayā shabistāñ ke ḳhvāb pahne hue
sitāre oḌhe hue māhtāb pahne hue
tamām jism kī uryāniyāñ thiiñ āñkhoñ meñ
vo merī ruuh meñ utrā hijāb pahne hue
mujhe kahīñ koī chashma nazar nahīñ aayā
hazār dasht paḌe the sarāb pahne hue
qadam qadam pe thakan sāz-bāz kartī hai
sisak rahā huuñ safar kā azaab pahne hue
magar sabāt nahīñ be-sabīl rastoñ meñ
ki paañv so ga.e 'sāqī' rikāb pahne hue
ye kaun aaya shabistan ke KHwab pahne hue
sitare oDhe hue mahtab pahne hue
tamam jism ki uryaniyan thin aankhon mein
wo meri ruh mein utra hijab pahne hue
mujhe kahin koi chashma nazar nahin aaya
hazar dasht paDe the sarab pahne hue
qadam qadam pe thakan saz-baz karti hai
sisak raha hun safar ka azab pahne hue
magar sabaat nahin be-sabil raston mein
ki panw so gae 'saqi' rikab pahne hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.