ye mohabbat ka fasana bhi badal jaega
ye mohabbat kā fasāna bhī badal jā.egā
vaqt ke saath zamāna bhī badal jā.egā
āj-kal meñ koī tūfān hai uThne vaalā
ham ġharīboñ kā Thikāna bhī badal jā.egā
mujh se lillāh na sarkār chhuḌā.eñ dāman
aap badle to zamāna bhī badal jā.egā
phir bahār aa.ī hai gulshan kā nazāra kar lo
varna ye vaqt suhāna bhī badal jā.egā
muflisī masnad-e-zardār pe qābiz hogī
mahl badlegā zamāna bhī badal jā.egā
kis ko ma.alūm thā anjām ye hogā 'az.har'
ghar badalte hī gharānā bhī badal jā.egā
ye mohabbat ka fasana bhi badal jaega
waqt ke sath zamana bhi badal jaega
aaj-kal mein koi tufan hai uThne wala
hum gharibon ka Thikana bhi badal jaega
mujh se lillah na sarkar chhuDaen daman
aap badle to zamana bhi badal jaega
phir bahaar aai hai gulshan ka nazara kar lo
warna ye waqt suhana bhi badal jaega
muflisi masnad-e-zardar pe qabiz hogi
mahl badlega zamana bhi badal jaega
kis ko malum tha anjam ye hoga 'azhar'
ghar badalte hi gharana bhi badal jaega
- Book : Shora-e-London (Pg. 22)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.