yun tere husn ki taswir ghazal mein aae
yuuñ tire husn kī tasvīr ġhazal meñ aa.e
jaise bilqīs sulemāñ ke mahal meñ aa.e
jabr se ek huā zā.eqa-e-hijr-o-visāl
ab kahāñ se vo mazā sabr ke phal meñ aa.e
ye bhī ārā.ish-e-hastī kā taqāzā thā ki ham
halqa-e-fikr se maidān-e-amal meñ aa.e
har qadam dast-o-garebāñ hai yahāñ ḳhair se shar
ham bhī kis mārka-e-jañg-o-jadal meñ aa.e
zindagī jin ke tasavvur se jilā paatī thī
haa.e kyā log the jo dām-e-ajal meñ aa.e
yun tere husn ki taswir ghazal mein aae
jaise bilqis suleman ke mahal mein aae
jabr se ek hua zaeqa-e-hijr-o-visal
ab kahan se wo maza sabr ke phal mein aae
ye bhi aaraish-e-hasti ka taqaza tha ki hum
halqa-e-fikr se maidan-e-amal mein aae
har qadam dast-o-gareban hai yahan KHair se shar
hum bhi kis marka-e-jang-o-jadal mein aae
zindagi jin ke tasawwur se jila pati thi
hae kya log the jo dam-e-ajal mein aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.