zaKHm-e-taza barg-e-gul mein muntaqil hote gae
zaḳhm-e-tāza barg-e-gul meñ muntaqil hote ga.e
panja-e-saffāk meñ ḳhanjar ḳhajil hote ga.e
diid ke qābil thā un sahrā-navardoñ kā junūñ
manzileñ miltī ga.iiñ ham muzmahil hote ga.e
nuur kā rishta savād-e-jism se kaTtā gayā
ham bhī āḳhir baad o ātish āb-o-gil hote ga.e
ḳhuun meñ ūñche chanāroñ ke na hiddat aa sakī
yuuñ ba-zāhir sabz patte mushta.il hote ga.e
dil ke daftar meñ thā jazboñ kā taqarrur aarzī
haañ jo un meñ mo'tabar the mustaqil hote ga.e
jaise jaise āgahī baḌhtī ga.ī vaise 'zahīr'
zehn o dil ik dūsre se munfasil hote ga.e
zaKHm-e-taza barg-e-gul mein muntaqil hote gae
panja-e-saffak mein KHanjar KHajil hote gae
did ke qabil tha un sahra-nawardon ka junun
manzilen milti gain hum muzmahil hote gae
nur ka rishta sawad-e-jism se kaTta gaya
hum bhi aaKHir baad o aatish aab-o-gil hote gae
KHun mein unche chanaron ke na hiddat aa saki
yun ba-zahir sabz patte mushtail hote gae
dil ke daftar mein tha jazbon ka taqarrur aarzi
han jo un mein mo'tabar the mustaqil hote gae
jaise jaise aagahi baDhti gai waise 'zahir'
zehn o dil ek dusre se munfasil hote gae
- Book : Roshan Waraq Waraq (Pg. 15)
- Author : Zaheer Siddiqui
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.