zamin ke sare manazir se kaT ke sota hun
zamīñ ke saare manāzir se kaT ke sotā huuñ
maiñ āsmāñ ke safar se palaT ke sotā huuñ
maiñ jam.a kartā huuñ shab ke siyāhī qatroñ ko
ba-vaqt-e-sub.h phir un ko palaT ke sotā huuñ
talāsh dhuup meñ kartā huuñ saarā din ḳhud ko
tamām-rāt sitāroñ meñ baT ke sotā huuñ
kahāñ sukūñ ki shab-o-roz ghūmnā us kā
zarā zamīn ke mehvar se haT ke sotā huuñ
tire badan kī ḳhalāoñ meñ aañkh khultī hai
havā ke jism se jab jab lipaT ke sotā huuñ
maiñ jaag jaag ke rāteñ guzārne vaalā
ik aisī raat bhī aatī hai DaT ke sotā huuñ
zamin ke sare manazir se kaT ke sota hun
main aasman ke safar se palaT ke sota hun
main jama karta hun shab ke siyahi qatron ko
ba-waqt-e-subh phir un ko palaT ke sota hun
talash dhup mein karta hun sara din KHud ko
tamam-raat sitaron mein baT ke sota hun
kahan sukun ki shab-o-roz ghumna us ka
zara zamin ke mehwar se haT ke sota hun
tere badan ki KHalaon mein aankh khulti hai
hawa ke jism se jab jab lipaT ke sota hun
main jag jag ke raaten guzarne wala
ek aisi raat bhi aati hai DaT ke sota hun
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 50)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.