zara si baat pe kaTte hain sar hamari taraf
zarā sī baat pe kaTte haiñ sar hamārī taraf
bhalā isī meñ hai tū ruḳh na kar hamārī taraf
na.e samāj kī ta.amīr khā ga.ī un ko
bane hue the jo chhappar ke ghar hamārī taraf
purāne ahd ke qisse sunātā rahtā hai
bachā huā hai jo būḌhā shajar hamārī taraf
kanī vo chaaT ke hiire kī ho gayā patthar
jab aa gayā koī ā.īna-gar hamārī taraf
na baat samjheñ na lahje kā dard pahchāneñ
haiñ is nazar ke bhī ahl-e-nazar hamārī taraf
zara si baat pe kaTte hain sar hamari taraf
bhala isi mein hai tu ruKH na kar hamari taraf
nae samaj ki tamir kha gai un ko
bane hue the jo chhappar ke ghar hamari taraf
purane ahd ke qisse sunata rahta hai
bacha hua hai jo buDha shajar hamari taraf
kani wo chaT ke hire ki ho gaya patthar
jab aa gaya koi aaina-gar hamari taraf
na baat samjhen na lahje ka dard pahchanen
hain is nazar ke bhi ahl-e-nazar hamari taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.