zawal-e-shab mein kisi ki sada nikal aae
zavāl-e-shab meñ kisī kī sadā nikal aa.e
sitāra Duube sitāra-numā nikal aa.e
ajab nahīñ ki ye dariyā nazar kā dhokā ho
ajab nahīñ ki koī rāsta nikal aa.e
ye kis ne dast-e-burīda kī fasl boī thī
tamām shahr meñ naḳhl-e-duā nikal aa.e
baḌī ghuTan hai charāġhoñ kā kyā ḳhayāl karūñ
ab is taraf koī mauj-e-havā nikal aa.e
ḳhudā kare saf-e-sardādgāñ na ho ḳhālī
jo maiñ girūñ to koī dūsrā nikal aa.e
zawal-e-shab mein kisi ki sada nikal aae
sitara Dube sitara-numa nikal aae
ajab nahin ki ye dariya nazar ka dhoka ho
ajab nahin ki koi rasta nikal aae
ye kis ne dast-e-burida ki fasl boi thi
tamam shahr mein naKHl-e-dua nikal aae
baDi ghuTan hai charaghon ka kya KHayal karun
ab is taraf koi mauj-e-hawa nikal aae
KHuda kare saf-e-sardadgan na ho KHali
jo main girun to koi dusra nikal aae
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 37)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.