zist milti hai umr-e-fani se
ziist miltī hai umr-e-fānī se
maañg kuchh apnī zindagānī se
ik nazar kā fasāna hai duniyā
sau kahānī hai ik kahānī se
baat kah dī to baat kuchh na rahī
ġham huā ġham kī tarjumānī se
sub.h hotī nahīñ mohabbat kī
raat kaTtī nahīñ javānī se
phuul chunte haiñ ahl-e-bazm 'nushūr'
merī har taaza gul-fishānī se
zist milti hai umr-e-fani se
mang kuchh apni zindagani se
ek nazar ka fasana hai duniya
sau kahani hai ek kahani se
baat kah di to baat kuchh na rahi
gham hua gham ki tarjumani se
subh hoti nahin mohabbat ki
raat kaTti nahin jawani se
phul chunte hain ahl-e-bazm 'nushur'
meri har taza gul-fishani se
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 282)
- Author : Nushoor Wahedi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd, Delhi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.