zindagi kya hue wo apne zamane wale
zindagī kyā hue vo apne zamāne vaale
yaad aate haiñ bahut dil ko dukhāne vaale
rāste chup haiñ nasīm-e-saharī bhī chup hai
jaane kis samt ga.e Thokareñ khāne vaale
ajnabī ban ke na mil umr-e-gurezāñ ham se
the kabhī ham bhī tire naaz uThāne vaale
aa ki maiñ dekh luuñ khoyā huā chehra apnā
mujh se chhup kar mirī tasvīr banāne vaale
ham to ik din na jiye apnī ḳhushī se ai dil
aur hoñge tire ehsān uThāne vaale
dil se uThte hue sho.aloñ ko kahāñ le jaa.eñ
apne har zaḳhm ko pahlū meñ chhupāne vaale
nik.hat-e-sub.h-e-chaman bhuul na jaanā ki tujhe
the hamīñ niiñd se har roz jagāne vaale
hañs ke ab dekhte haiñ chāk-e-garebāñ merā
apne aañsū mire dāman meñ chhupāne vaale
kis se pūchhūñ ye siyah raat kaTegī kis din
so ga.e jā ke kahāñ ḳhvāb dikhāne vaale
har qadam duur huī jaatī hai manzil ham se
rāh-e-gum-karda haiñ ḳhud raah dikhāne vaale
ab jo rote haiñ mire hāl-e-zabūñ par 'aḳhtar'
kal yahī the mujhe hañs hañs ke rulāne vaale
zindagi kya hue wo apne zamane wale
yaad aate hain bahut dil ko dukhane wale
raste chup hain nasim-e-sahari bhi chup hai
jaane kis samt gae Thokaren khane wale
ajnabi ban ke na mil umr-e-gurezan hum se
the kabhi hum bhi tere naz uThane wale
aa ki main dekh lun khoya hua chehra apna
mujh se chhup kar meri taswir banane wale
hum to ek din na jiye apni KHushi se ai dil
aur honge tere ehsan uThane wale
dil se uThte hue shoalon ko kahan le jaen
apne har zaKHm ko pahlu mein chhupane wale
nikhat-e-subh-e-chaman bhul na jaana ki tujhe
the hamin nind se har roz jagane wale
hans ke ab dekhte hain chaak-e-gareban mera
apne aansu mere daman mein chhupane wale
kis se puchhun ye siyah raat kaTegi kis din
so gae ja ke kahan KHwab dikhane wale
har qadam dur hui jati hai manzil hum se
rah-e-gum-karda hain KHud rah dikhane wale
ab jo rote hain mere haal-e-zabun par 'aKHtar'
kal yahi the mujhe hans hans ke rulane wale
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 295)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.