dagh-e-firaq se kya puchho ho aag lagai sine mein
dāġh-e-firāq se kyā pūchho ho aag lagā.ī siine meñ
chhātī se vo mah na lagā Tuk aa kar is bhī mahīne meñ
chaak huā dil TukḌe jigar hai lohū ro.e āñkhoñ se
ishq ne kyā kyā zulm dikhā.e das din ke is jiine meñ
gūñdh ke goyā pattī gul kī vo tarkīb banā.ī hai
rang badan kā tab dekho jab cholī bhīge pasīne meñ
is sūrat kā naaz na thā kuchh dab chaltā thā ham se bhī
jab tak dekhā un ne na thā muñh ḳhuub apnā ā.īne meñ
logoñ meñ islām ke ho na shohrat is rusvā.ī kī
shaiḳh ko pherā gadhe chaḌhā kar makke aur madīne meñ
dil na TaToleñ kāshke us kā sardī-e-mehr to zāhir hai
pāveñ us ko garm mubādā yaar hamāre kiine meñ
'mīr' ne kyā kyā zabt kiyā hai shauq meñ ashk-e-ḳhūnīñ ko
kahiye jo taqsīr huī ho apnā lohū piine meñ
dagh-e-firaq se kya puchho ho aag lagai sine mein
chhati se wo mah na laga Tuk aa kar is bhi mahine mein
chaak hua dil TukDe jigar hai lohu roe aankhon se
ishq ne kya kya zulm dikhae das din ke is jine mein
gundh ke goya patti gul ki wo tarkib banai hai
rang badan ka tab dekho jab choli bhige pasine mein
is surat ka naz na tha kuchh dab chalta tha hum se bhi
jab tak dekha un ne na tha munh KHub apna aaine mein
logon mein islam ke ho na shohrat is ruswai ki
shaiKH ko phera gadhe chaDha kar makke aur madine mein
dil na TaTolen kashke us ka sardi-e-mehr to zahir hai
pawen us ko garm mubaada yar hamare kine mein
'mir' ne kya kya zabt kiya hai shauq mein ashk-e-KHunin ko
kahiye jo taqsir hui ho apna lohu pine mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1460
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.