bachchon ki eid
eid bahut hī dhuum se aa.ī
bāzāroñ meñ raunaq laa.ī
pahan ke achchhe achchhe kapḌe
bachche apne ghar se nikle
kapḌe goTe aur phaTe ke
jhilmil karte jham jham karte
eid milan ko pahuñche ghar ghar
kitne ḳhush the bāham mil kar
phenī aur miThā.ī khaa.ī
mīThī mīThī eid manā.ī
mile unheñ eidī ke paise
khel khilaune ḳhuub ḳharīde
jā kar baaġh meñ jhūlā jhūle
duniyā ke saare ġham bhūle
sab ne dil se eid manā.ī
magar hameñ to zarā na bhaa.ī
tum jo nahīñ thiiñ paas hamāre
dil bhar aayā ġham ke maare
merī 'sīmīñ' merī pyārī
tum ko mubārak eid tumhārī
tum ne manā.ī ḳhuub ye eid
hameñ tumhārī huī na diid
ham to jab tum ko dekheñge
eid usī din kī samjheñge
eid bahut hi dhum se aai
bazaron mein raunaq lai
pahan ke achchhe achchhe kapDe
bachche apne ghar se nikle
kapDe goTe aur phaTe ke
jhilmil karte jham jham karte
eid milan ko pahunche ghar ghar
kitne KHush the baham mil kar
pheni aur miThai khai
miThi miThi eid manai
mile unhen eidi ke paise
khel khilaune KHub KHaride
ja kar bagh mein jhula jhule
duniya ke sare gham bhule
sab ne dil se eid manai
magar hamein to zara na bhai
tum jo nahin thin pas hamare
dil bhar aaya gham ke mare
meri 'simin' meri pyari
tum ko mubarak eid tumhaari
tum ne manai KHub ye eid
hamein tumhaari hui na did
hum to jab tum ko dekhenge
eid usi din ki samjhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.