eid ke roz
kaisī nikhrī sī nazar aatī hai fazā eid ke roz
shādmāñ phirte haiñ sab shāh-o-gadā eid ke roz
kitnī be-fikrī se gaate haiñ gadā rāhoñ meñ
peT ḳhālī ho to gaa.eñ bhī na kyā eid ke roz
kyā bhalī lagtī hai har pīr-o-javāñ ke muñh se
har taraf eid mubārak kī sadā eid ke roz
ammī ḳhush hoñgī aur eidī bhī vahī pā.egā
vaqt se pahle jo bedār huā eid ke roz
chāñd untīs ko kyā niklā ki aadhī shab se
tailoring shaap meñ ik tāñtā bañdhā eid ke roz
kapḌe bhī dhul na sake vaqt-e-namāz aa pahūñchā
laundry vāloñ pe aafat hai bapā eid ke roz
daadī ammāñ ne musalle ko pare Daal diyā
ghar meñ mehmānoñ kā vo shor machā eid ke roz
aañkh ojhal huī aur TuuT savayyoñ pe paḌā
der se aslam isī taak meñ thā eid ke roz
īd-gah shaan se Tam Tam pe chale haiñ babban
baap ke kāñdhoñ pe nanhā bhī chaḌhā eid ke roz
pakḌe lāThī ko maTakte chale ramzānī miyāñ
pīchhe se bachchoñ kā ik gol chalā eid ke roz
apne begāne jo baḌh baḌh ke gale milte hoñ
kyoñ na phir aa.e ibādat meñ maza eid ke roz
roze ramzān ke rakhnā to sabhī bhuul ga.e
kaise bhūleñge savayyoñ ko bhalā eid ke roz
saal ke saal rahe yād-e-ḳhudā se ġhāfil
ai 'zakī' un ko bhī yaad aayā ḳhudā eid ke roz
kaisi nikhri si nazar aati hai faza eid ke roz
shadman phirte hain sab shah-o-gada eid ke roz
kitni be-fikri se gate hain gada rahon mein
peT KHali ho to gaen bhi na kya eid ke roz
kya bhali lagti hai har pir-o-jawan ke munh se
har taraf eid mubarak ki sada eid ke roz
ammi KHush hongi aur eidi bhi wahi paega
waqt se pahle jo bedar hua eid ke roz
chand untis ko kya nikla ki aadhi shab se
tailoring shap mein ek tanta bandha eid ke roz
kapDe bhi dhul na sake waqt-e-namaz aa pahuncha
laundry walon pe aafat hai bapa eid ke roz
dadi amman ne musalle ko pare Dal diya
ghar mein mehmanon ka wo shor macha eid ke roz
aankh ojhal hui aur TuT sawayyon pe paDa
der se aslam isi tak mein tha eid ke roz
id-gah shan se Tam Tam pe chale hain babban
bap ke kandhon pe nanha bhi chaDha eid ke roz
pakDe laThi ko maTakte chale ramzani miyan
pichhe se bachchon ka ek gol chala eid ke roz
apne begane jo baDh baDh ke gale milte hon
kyon na phir aae ibaadat mein maza eid ke roz
roze ramzan ke rakhna to sabhi bhul gae
kaise bhulenge sawayyon ko bhala eid ke roz
sal ke sal rahe yaad-e-KHuda se ghafil
ai 'zaki' un ko bhi yaad aaya KHuda eid ke roz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.