eid ki KHushi
lo phir hamārī eid aa ga.ī hai
har ek ḳhush hai ghar ghar ḳhushī hai
kyā qahqahe haiñ kyā dil-lagī hai
har samt goyā shādī rachī hai
munnī uThegī taḌke savere
jhaT-paT nahā kar pahnegī kapḌe
kapḌe bhī kaise goTe zarī ke
resham kā jampar maḳhmal ke juute
pahnegī munnī zevar bhī apne
zevar jo us ke abbā haiñ laa.e
hāthoñ meñ kañgan paañv meñ lachchhe
māthe pe Tapkā kānoñ meñ jhumke
ammī se le kar eidī ke paise
bhayyā ko degī kah kar ye un se
paḌh kar dogānā mele meñ jā ke
mere liye bhī laanā khilaune
chīnī kī guḌiyāñ chīnī ke guDDe
guḌiyoñ ke bartan guḌiyoñ ke gahne
bhayyā bhī jaldī jā.eñge ghar se
kapḌe badal kar takbīr paḌhte
vājib dogānā mil kar paḌheñge
ḳhutba suneñge ḳhāmosh baiThe
kar ke duā.eñ bāham mileñge
ulfat ke ġhunche dil meñ khileñge
ā.eñge phir kar jab eid-gāh se
le kar miThā.ī le kar khilaune
bhaa.ī bahan sab kheleñge mil ke
guzregā din phir lutf-o-ḳhushī se
'nayyar' mubārak ye eid sab ko
ho is ḳhushī kī phir diid sab ko
lo phir hamari eid aa gai hai
har ek KHush hai ghar ghar KHushi hai
kya qahqahe hain kya dil-lagi hai
har samt goya shadi rachi hai
munni uThegi taDke sawere
jhaT-paT naha kar pahnegi kapDe
kapDe bhi kaise goTe zari ke
resham ka jampar maKHmal ke jute
pahnegi munni zewar bhi apne
zewar jo us ke abba hain lae
hathon mein kangan panw mein lachchhe
mathe pe Tapka kanon mein jhumke
ammi se le kar eidi ke paise
bhayya ko degi kah kar ye un se
paDh kar dogana mele mein ja ke
mere liye bhi lana khilaune
chini ki guDiyan chini ke guDDe
guDiyon ke bartan guDiyon ke gahne
bhayya bhi jaldi jaenge ghar se
kapDe badal kar takbir paDhte
wajib dogana mil kar paDhenge
KHutba sunenge KHamosh baiThe
kar ke duaen baham milenge
ulfat ke ghunche dil mein khilenge
aaenge phir kar jab eid-gah se
le kar miThai le kar khilaune
bhai bahan sab khelenge mil ke
guzrega din phir lutf-o-KHushi se
'nayyar' mubarak ye eid sab ko
ho is KHushi ki phir did sab ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.