eid
merī hamdam
gungunātī muskurātī
ek vo bhī eid thī
dil meñ terī diid kā armāñ liye
tujh se milne eid kitne shauq se
terī bastī DhūñD kar pahuñchā thā maiñ
mujh ko ab tak yaad hai vo chāñd raat
jab kiyā thā tū ne merā intizār
merī hamdam
ek ye bhī eid hai
suunā suunā saarā shahr
karb-e-tanhā.ī kā zahr
dil kī ik ik rag meñ hai phailā huā
tujh se milne kī koī jaldī nahīñ
tujh ko bhī shāyad nahīñ hai intizār
khankhanātī chūḌiyāñ maiñ ne tujhe bhejī nahīñ
pyaar kī ḳhushbū meñ lipTā
terā jī rūmāl tak pahuñchā nahīñ
meri hamdam
gungunati muskuraati
ek wo bhi eid thi
dil mein teri did ka arman liye
tujh se milne eid kitne shauq se
teri basti DhunD kar pahuncha tha main
mujh ko ab tak yaad hai wo chand raat
jab kiya tha tu ne mera intizar
meri hamdam
ek ye bhi eid hai
suna suna sara shahr
karb-e-tanhai ka zahr
dil ki ek ek rag mein hai phaila hua
tujh se milne ki koi jaldi nahin
tujh ko bhi shayad nahin hai intizar
khankhanati chuDiyan main ne tujhe bheji nahin
pyar ki KHushbu mein lipTa
tera ji rumal tak pahuncha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.