eid muflis ki
pūchho mujh se hī eid muflis kī
maiñ ne dekhī hai eid muflis kī
le ke hamrāh qāfile ġham ke
aa ke pahuñchī hai eid muflis kī
eid ke din bhī ghar meñ sannāTā
jaise soī hai eid muflis kī
kis ne sochā hai ek lamha bhī
kaise hotī hai eid muflis kī
eid ke din bhī dil rahā maġhmūm
jab se dekhī hai eid muflis kī
yuuñ to raqsāñ thiiñ chār-sū ḳhushiyāñ
rote guzrī hai eid muflis kī
bachche pahne haiñ maañg kar kapḌe
jab bhī aatī hai eid muflis kī
mujh se pūchho 'vaqār' kaisī thī
maiñ ne dekhī hai eid muflis ke
puchho mujh se hi eid muflis ki
main ne dekhi hai eid muflis ki
le ke hamrah qafile gham ke
aa ke pahunchi hai eid muflis ki
eid ke din bhi ghar mein sannaTa
jaise soi hai eid muflis ki
kis ne socha hai ek lamha bhi
kaise hoti hai eid muflis ki
eid ke din bhi dil raha maghmum
jab se dekhi hai eid muflis ki
yun to raqsan thin chaar-su KHushiyan
rote guzri hai eid muflis ki
bachche pahne hain mang kar kapDe
jab bhi aati hai eid muflis ki
mujh se puchho 'waqar' kaisi thi
main ne dekhi hai eid muflis ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.