holi
galī galī bāzār meñ ho ga.ī rangoñ kī bauchhār
āñchal bhīge tan man bhīgā gaal hue gulnār
kitnī umangeñ le kar aayā holī kā tyauhār
aayā holī kā tyauhār le ke rangoñ kī bahār
manzar hue rañgīle
rañgoñ se ġhubāre bhar kar bachche chaḌhe aTārī
sabza sabza rang meñ Duubā bhīgī Daarī Daarī
koī na bachne paayā un se panDit ho ki pujārī
aayā holī kā tyauhār le ke rangoñ kī bahār
manzar hue rañgīle
Dhol bajā.eñ gaa.eñ naukar hoñ ki vo byopārī
Dholak kī har thaap pe nācheñ holī meñ nar-nārī
kheleñ kūdeñ dhuum machā.eñ aur maarī pichkārī
aayā holī kā tyauhār le ke rangoñ kī bahār
manzar hue rañgīle
hindū muslim sikh īsā.ī mil kar kheleñ holī
aaj ke din sab bhed miTā kar boleñ mīThī bolī
sab ne holī ke rangoñ se dil kī kālak dholī
aayā holī kā tyauhār le ke rangoñ kī bahār
manzar hue rañgīle
gali gali bazar mein ho gai rangon ki bauchhaar
aanchal bhige tan man bhiga gal hue gulnar
kitni umangen le kar aaya holi ka tyauhaar
aaya holi ka tyauhaar le ke rangon ki bahaar
manzar hue rangile
rangon se ghubare bhar kar bachche chaDhe aTari
sabza sabza rang mein Duba bhigi Dari Dari
koi na bachne paya un se panDit ho ki pujari
aaya holi ka tyauhaar le ke rangon ki bahaar
manzar hue rangile
Dhol bajaen gaen naukar hon ki wo byopari
Dholak ki har thap pe nachen holi mein nar-nari
khelen kuden dhum machaen aur mari pichkari
aaya holi ka tyauhaar le ke rangon ki bahaar
manzar hue rangile
hindu muslim sikh isai mil kar khelen holi
aaj ke din sab bhed miTa kar bolen miThi boli
sab ne holi ke rangon se dil ki kalak dholi
aaya holi ka tyauhaar le ke rangon ki bahaar
manzar hue rangile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.