holi ki bahaaren
jab phāgun rañg jhamakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
aur daf ke shor khaḌakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
pariyoñ ke rañg damakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
ḳhum, shīshe, jaam, jhalakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
mahbūb nashe meñ chakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
ho naach rañgīlī pariyoñ kā baiThe hoñ gul-rū rañg-bhare
kuchh bhīgī tāneñ holī kī kuchh nāz-o-adā ke Dhañg-bhare
dil bhūle dekh bahāroñ ko aur kānoñ meñ āhañg bhare
kuchh table khaḌkeñ rañg-bhare kuchh aish ke dam muñh-chañg bhare
kuchh ghuñghrū taal chhanakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
sāmān jahāñ tak hotā hai us ishrat ke matlūboñ kā
vo sab sāmān muhayyā ho aur baaġh khilā ho ḳhvāboñ kā
har aan sharābeñ Dhaltī hoñ aur ThaTh ho rañg ke Dūboñ kā
is aish maze ke aalam meñ ek ġhol khaḌā mahbūboñ kā
kapḌoñ par rañg chhiḌakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
gulzār khile hoñ pariyoñ ke aur majlis kī tayyārī ho
kapḌoñ par rañg ke chhīñToñ se ḳhush-rañg ajab gul-kārī ho
muñh laal, gulābī āñkheñ hoñ, aur hāthoñ meñ pichkārī ho
us rañg-bharī pichkārī ko añgiyā par tak kar maarī ho
sīnoñ se rañg Dhalakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
us rañg-rañgīlī majlis meñ vo ranDī nāchne vaalī ho
muñh jis kā chāñd kā TukḌā ho aur aañkh bhī mai ke pyālī ho
bad-mast baḌī matvālī ho har aan bajātī taalī ho
mai-noshī ho behoshī ho ''bhaḌve'' kī muñh meñ gaalī ho
bhaḌve bhii, bhaḌvā bakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
aur ek taraf dil lene ko mahbūb bhavayyoñ ke laḌke
har aan ghaḌī gat bharte hoñ kuchh ghaT ghaT ke kuchh baḌh baḌh ke
kuchh naaz jatāveñ laḌ laḌ ke kuchh holī gāveñ aḌ aḌ ke
kuchh lachke shoḳh kamar patlī kuchh haath chale kuchh tan bhaḌke
kuchh kāfir nain maTakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
ye dhuum machī ho holī kī aur aish maze kā jhakkaḌ ho
us khīñchā-khīñch ghasīTī par bhaḌve ranDī kā phakkaḌ ho
mājūn, sharābeñ, nāch, maza, aur Tikiyā sufā kakkaḌ ho
laḌ-bhiḌ ke 'nazīr' bhī niklā ho kīchaḌ meñ laththaḌ-paththaḌ ho
jab aise aish mahakte hoñ tab dekh bahāreñ holī kī
jab phagun rang jhamakte hon tab dekh bahaaren holi ki
aur daf ke shor khaDakte hon tab dekh bahaaren holi ki
pariyon ke rang damakte hon tab dekh bahaaren holi ki
KHum, shishe, jam, jhalakte hon tab dekh bahaaren holi ki
mahbub nashe mein chakte hon tab dekh bahaaren holi ki
ho nach rangili pariyon ka baiThe hon gul-ru rang-bhare
kuchh bhigi tanen holi ki kuchh naz-o-ada ke Dhang-bhare
dil bhule dekh bahaaron ko aur kanon mein aahang bhare
kuchh table khaDken rang-bhare kuchh aish ke dam munh-chang bhare
kuchh ghunghru tal chhanakte hon tab dekh bahaaren holi ki
saman jahan tak hota hai us ishrat ke matlubon ka
wo sab saman muhayya ho aur bagh khila ho KHwabon ka
har aan sharaben Dhalti hon aur ThaTh ho rang ke Dubon ka
is aish maze ke aalam mein ek ghol khaDa mahbubon ka
kapDon par rang chhiDakte hon tab dekh bahaaren holi ki
gulzar khile hon pariyon ke aur majlis ki tayyari ho
kapDon par rang ke chhinTon se KHush-rang ajab gul-kari ho
munh lal, gulabi aankhen hon, aur hathon mein pichkari ho
us rang-bhari pichkari ko angiya par tak kar mari ho
sinon se rang Dhalakte hon tab dekh bahaaren holi ki
us rang-rangili majlis mein wo ranDi nachne wali ho
munh jis ka chand ka TukDa ho aur aankh bhi mai ke pyali ho
bad-mast baDi matwali ho har aan bajati tali ho
mai-noshi ho behoshi ho bhaDwe ki munh mein gali ho
bhaDwe bhi, bhaDwa bakte hon tab dekh bahaaren holi ki
aur ek taraf dil lene ko mahbub bhawayyon ke laDke
har aan ghaDi gat bharte hon kuchh ghaT ghaT ke kuchh baDh baDh ke
kuchh naz jatawen laD laD ke kuchh holi gawen aD aD ke
kuchh lachke shoKH kamar patli kuchh hath chale kuchh tan bhaDke
kuchh kafir nain maTakte hon tab dekh bahaaren holi ki
ye dhum machi ho holi ki aur aish maze ka jhakkaD ho
us khincha-khinch ghasiTi par bhaDwe ranDi ka phakkaD ho
majun, sharaben, nach, maza, aur Tikiya sufa kakkaD ho
laD-bhiD ke 'nazir' bhi nikla ho kichaD mein laththaD-paththaD ho
jab aise aish mahakte hon tab dekh bahaaren holi ki
- Book : intekhab naziir akbaraabaadii (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.