id
diloñ meñ pyaar jagāne ko iid aa.ī hai
hañso ki hañsne hañsāne ko iid aa.ī hai
masarratoñ ke ḳhazāne diye ḳhudā ne hameñ
tarāne shukr ke gaane ko iid aa.ī hai
mahak uThī hai fazā pairahan kī ḳhushbū se
chaman diloñ kā khilāne ko iid aa.ī hai
ḳhoshā ki shīr-o-shakar ho ga.e gale mil kar
ḳhulūs-e-dil hī dikhāne ko iid aa.ī hai
uThā do dosto is dushmanī ko mahfil se
shikāyatoñ ke bhulāne ko iid aa.ī hai
kiyā thā ahd ki ḳhushiyāñ jahāñ meñ bāTeñge
isī talab ke nibhāne ko iid aa.ī hai
dilon mein pyar jagane ko id aai hai
hanso ki hansne hansane ko id aai hai
masarraton ke KHazane diye KHuda ne hamein
tarane shukr ke gane ko id aai hai
mahak uThi hai faza pairahan ki KHushbu se
chaman dilon ka khilane ko id aai hai
KHosha ki shir-o-shakar ho gae gale mil kar
KHulus-e-dil hi dikhane ko id aai hai
uTha do dosto is dushmani ko mahfil se
shikayaton ke bhulane ko id aai hai
kiya tha ahd ki KHushiyan jahan mein baTenge
isi talab ke nibhane ko id aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.