id ka chand
Dūbtī shaam ke bāloñ meñ shafaq kī laalī
kitnī bichhḌī huī yādoñ ko milā detī hai
ḳhushbueñ surḳh gulāboñ kī mahak uThtī haiñ
chāñd sī shakl tamanna ko jilā detī hai
vo hī tasvīr vo hī rang vo hī tanhā.ī
merī vahshat meñ utarne lagī ḳhanjar ban kar
sab muñDeroñ pe khaḌe dekh rahe haiñ us ko
phir samāne lagī mujh meñ tirā paikar ban kar
maiñ ne chāhā thā ki maiñ tujh ko bhulā duuñ lekin
mujh se ye ho na sakā tujh se bhī ye ho na sakā
dil ne ma.asūm gulāboñ se jo khaa.e the vo zaḳhm
un ko siine meñ chhupā.e rahā maiñ dho na sakā
apne juuḌe meñ sajā.e hue bārīk sā chāñd
nuur kī shaam phir aa.ī hai charāġhāñ karne
jhilmilāte hue tāroñ kā hai ik haalā sā
raushnī utrī hai tajdīd-e-gulistāñ karne
roza-dāroñ ke tajassus se ye nikhrī huī shaam
aur is shaam meñ bachpan kī nigāhoñ kī talāsh
chāñd ke ruup meñ paane ke liye dil bechain
tere nazzāroñ kī aur terī panāhoñ kī talāsh
iid kā chāñd zamāne ne tujhe naam diyā
tere ruḳhsār kī letī haiñ balā.eñ āñkheñ
chāñdnī terī utar aa.egī har ik dil meñ
is qadar pyaar ki sharmā hī na jaa.eñ āñkheñ
chāñd ke ruup meñ pākīza tamannāoñ meñ
ḳhūb-rūī tirī allāh salāmat rakkhe
ye duā hai mirī mahbūb mire shauq kī jaañ
jab bhī tū ubhre to āñkhoñ meñ tarāvat rakhe
tū mirī bātoñ se sharmā ke na chhup jaanā kahīñ
iid kā chāñd hai to sab ko dikhā.ī denā
dil ke jazbāt tire saath haiñ ai nūr-e-hayāt
pyaar kā giit hai to sab ko sunā.ī denā
tere aane ke tasadduq tire jalvoñ ke nisār
paak lamhāt meñ hai ishq kī tā.īd kā din
ek shā.ir huuñ mire lafzoñ kā tohfa ho qubūl
iid kā chāñd mubārak ho tujhe iid kā din
Dubti sham ke baalon mein shafaq ki lali
kitni bichhDi hui yaadon ko mila deti hai
KHushbuen surKH gulabon ki mahak uThti hain
chand si shakl tamanna ko jila deti hai
wo hi taswir wo hi rang wo hi tanhai
meri wahshat mein utarne lagi KHanjar ban kar
sab munDeron pe khaDe dekh rahe hain us ko
phir samane lagi mujh mein tera paikar ban kar
main ne chaha tha ki main tujh ko bhula dun lekin
mujh se ye ho na saka tujh se bhi ye ho na saka
dil ne masum gulabon se jo khae the wo zaKHm
un ko sine mein chhupae raha main dho na saka
apne juDe mein sajae hue barik sa chand
nur ki sham phir aai hai charaghan karne
jhilmilate hue taron ka hai ek haala sa
raushni utri hai tajdid-e-gulistan karne
roza-daron ke tajassus se ye nikhri hui sham
aur is sham mein bachpan ki nigahon ki talash
chand ke rup mein pane ke liye dil bechain
tere nazzaron ki aur teri panahon ki talash
id ka chand zamane ne tujhe nam diya
tere ruKHsar ki leti hain balaen aankhen
chandni teri utar aaegi har ek dil mein
is qadar pyar ki sharma hi na jaen aankhen
chand ke rup mein pakiza tamannaon mein
KHub-rui teri allah salamat rakkhe
ye dua hai meri mahbub mere shauq ki jaan
jab bhi tu ubhre to aankhon mein tarawat rakhe
tu meri baaton se sharma ke na chhup jaana kahin
id ka chand hai to sab ko dikhai dena
dil ke jazbaat tere sath hain ai nur-e-hayat
pyar ka git hai to sab ko sunai dena
tere aane ke tasadduq tere jalwon ke nisar
pak lamhat mein hai ishq ki taid ka din
ek shair hun mere lafzon ka tohfa ho qubul
id ka chand mubarak ho tujhe id ka din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.