id kab hogi
sunā thā chāñd niklegā
sunā thā eid aa.egī
sunā thā ek raunaq kūcha-o-bāzār meñ hogī
sunā thā tum bhī aaoge
sunā hai chāñd niklā thā
sunā hai raunaqeñ thiiñ kūcha-o-bāzār meñ har sū
sunā hai eid kī ḳhushiyāñ manā.īñ shahr meñ sab ne
ye sab kuchh to huā lekin
bas ik tum hī nahīñ aa.e
batāo kyuuñ nahīñ aa.e
batāo diid kab hogī
hamārī eid kab hogī
suna tha chand niklega
suna tha eid aaegi
suna tha ek raunaq kucha-o-bazar mein hogi
suna tha tum bhi aaoge
suna hai chand nikla tha
suna hai raunaqen thin kucha-o-bazar mein har su
suna hai eid ki KHushiyan manain shahr mein sab ne
ye sab kuchh to hua lekin
bas ek tum hi nahin aae
batao kyun nahin aae
batao did kab hogi
hamari eid kab hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.