id ke roz
iid ke roz gale kis ko lagā.e koī
vo na hoñ paas to kyā iid manā.e koī
paas hote bhī agar mere to hāsil kyā thā
un ko ye zid hai gale se na lagā.e koī
dil ke dam se hai ḳhushī aur dil un ke dam se
dil ho vīrān to kyā dhuum machā.e koī
ḳhud to aate nahīñ aur yaad chalī aatī hai
iid ke roz mujhe yuuñ na satā.e koī
lazzat-e-vasl mayassar jo nahīñ iid ke din
hai ġham-e-hijr ko siine se lagā.e koī
qurb thā bā.is-e-āzār to phir ai dil-e-zār
duur rah kar bhī mujhe yaad na aa.e koī
iid ke roz masarrat kā taqāzā hai ki aaj
dil kī ujḌī huī nagrī ko basā.e koī
iid kā roz bhī har din ke barābar hai mujhe
iid ke roz bhī gar muñh na dikhā.e koī
kaash ik baar vo is shaan se aa jaa.eñ 'jalīl'
ġhaur karne pe bhī pahchān na paa.e koī
id ke roz gale kis ko lagae koi
wo na hon pas to kya id manae koi
pas hote bhi agar mere to hasil kya tha
un ko ye zid hai gale se na lagae koi
dil ke dam se hai KHushi aur dil un ke dam se
dil ho viran to kya dhum machae koi
KHud to aate nahin aur yaad chali aati hai
id ke roz mujhe yun na satae koi
lazzat-e-wasl mayassar jo nahin id ke din
hai gham-e-hijr ko sine se lagae koi
qurb tha bais-e-azar to phir ai dil-e-zar
dur rah kar bhi mujhe yaad na aae koi
id ke roz masarrat ka taqaza hai ki aaj
dil ki ujDi hui nagri ko basae koi
id ka roz bhi har din ke barabar hai mujhe
id ke roz bhi gar munh na dikhae koi
kash ek bar wo is shan se aa jaen 'jalil'
ghaur karne pe bhi pahchan na pae koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.