id
koī be-sāḳhta ehsās na jazba na lahak
be-dilī sī thī ajab iid ke hangāme meñ
raat bhar aas meñ ghultī rahī mehñdī lekin
kisī shaffāf hathelī ne na chhū kar dekhā
sard āñgan meñ TheThurtā rahā kuḌhtā rahā chāñd
garm kamroñ ne idhar ko na palaT kar dekhā
saarā din ghar ko sajāte rahe āvāzoñ se
aur āvāzoñ se vahshat bhī bahut khāte rahe
Tahniyāñ sī ka.ī TuuTā karīñ andar andar
sūkhe patte se bahut pairoñ tale aate rahe
yaad ke sahn se pattoñ ko baTorā ham ne
chand TuuTī huī tasvīroñ ko joḌā ham ne
kisī joḌī huī ummīd ko toḌā ham ne
be-salīqa sā bahut iid kā hañgām rahā
iid ke roz bhī ham ko to bahut kaam rahā
koi be-saKHta ehsas na jazba na lahak
be-dili si thi ajab id ke hangame mein
raat bhar aas mein ghulti rahi mehndi lekin
kisi shaffaf hatheli ne na chhu kar dekha
sard aangan mein TheThurta raha kuDhta raha chand
garm kamron ne idhar ko na palaT kar dekha
sara din ghar ko sajate rahe aawazon se
aur aawazon se wahshat bhi bahut khate rahe
Tahniyan si kai TuTa karin andar andar
sukhe patte se bahut pairon tale aate rahe
yaad ke sahn se patton ko baTora hum ne
chand TuTi hui taswiron ko joDa hum ne
kisi joDi hui ummid ko toDa hum ne
be-saliqa sa bahut id ka hangam raha
id ke roz bhi hum ko to bahut kaam raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.