meri holi
kaash hāsil ho haqīqī zindagī kā ek din
sarḳhushī kā ek lamha yā ḳhushī kā ek din
kar diyā hai shorish-e-ālam ne dīvāna mujhe
hai bisāt-e-dahr vahshat-nāk vīrāna mujhe
ik na.ī duniyā kī ḳhilqat hai mirī taḳh.īl meñ
jo muāvin ho sake insān kī takmīl meñ
ehtimām-e-zindagī jis meñ ba-taur-e-ḳhās ho
āsmāñ jis kā mohabbat ho zamīñ iḳhlās ho
kirshn kī aaj yād-e-rafta mahfil-e-zinda karo
brij-o-gokul kī bujhī sham.oñ ko tābinda karo
ḳhushkī-e-gañg-o-jaman kī ābiyārī ke liye
dāvateñ do gopiyoñ ko rañg-bārī ke liye
az-sar-e-nau phir murattab ho jahān-e-rañg-o-bū
ḳhār-o-ḳhas se phir ho paidā kār-ḳhāne rañg-o-bū
prem-ras se laao bhar kar ḳhushnumā pichkāriyāñ
hoñ na.ī dāmān-e-hastī par latāfat-bāriyāñ
ruuh kī āvāz ham ā.eñge sāz-o-chañg ho
jo paḌe insāñ pe vo insāniyat kā rañg ho
chāhtā huuñ yuuñ ho rañgīñ pairahan aur sāriyāñ
shust-o-shū se bhī na zaa.il ho sakeñ gul-kāriyāñ
jism kī sūrat rahe dil bhī masarrat meñ sharīk
rūh-e-āzādī bhī ho jaa.e haqīqat meñ sharīk
chāhtā huuñ gulshan-e-kohna par aa jaa.e shabāb
tinkā tinkā phuul ho aur pattā pattā āftāb
tāzgī vaj.h-e-shaguft-e-ḳhātir-e-ālam rahe
merī duniyā meñ hamesha ek hī mausam rahe
shā.ir-o-sannā.a ho fikr-o-ḳhalish se be-niyāz
ḳhvāja-o-mazdūr meñ baaqī na ho kuchh imtiyāz
irtiqā ke rañg se labrez jholī ho merī
inqilāb aisā koī aa.e to holī ho merī
kash hasil ho haqiqi zindagi ka ek din
sarKHushi ka ek lamha ya KHushi ka ek din
kar diya hai shorish-e-alam ne diwana mujhe
hai bisat-e-dahr wahshat-nak virana mujhe
ek nai duniya ki KHilqat hai meri taKHil mein
jo muawin ho sake insan ki takmil mein
ehtimam-e-zindagi jis mein ba-taur-e-KHas ho
aasman jis ka mohabbat ho zamin iKHlas ho
kirshn ki aaj yaad-e-rafta mahfil-e-zinda karo
brij-o-gokul ki bujhi shamon ko tabinda karo
KHushki-e-gang-o-jaman ki aabiyari ke liye
dawaten do gopiyon ko rang-bari ke liye
az-sar-e-nau phir murattab ho jahan-e-rang-o-bu
KHar-o-KHas se phir ho paida kar-KHane rang-o-bu
prem-ras se lao bhar kar KHushnuma pichkariyan
hon nai daman-e-hasti par latafat-bariyan
ruh ki aawaz hum aaenge saz-o-chang ho
jo paDe insan pe wo insaniyat ka rang ho
chahta hun yun ho rangin pairahan aur sariyan
shust-o-shu se bhi na zail ho saken gul-kariyan
jism ki surat rahe dil bhi masarrat mein sharik
ruh-e-azadi bhi ho jae haqiqat mein sharik
chahta hun gulshan-e-kohna par aa jae shabab
tinka tinka phul ho aur patta patta aaftab
tazgi wajh-e-shaguft-e-KHatir-e-alam rahe
meri duniya mein hamesha ek hi mausam rahe
shair-o-sannaa ho fikr-o-KHalish se be-niyaz
KHwaja-o-mazdur mein baqi na ho kuchh imtiyaz
irtiqa ke rang se labrez jholi ho meri
inqilab aisa koi aae to holi ho meri
- Book : Hindustan Hamara-1 (Pg. 255)
- Author : Jan Nisar Akhtar
- Publication : B.K. Offset Navin Shahdara Delhi-110032 (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.