pardes mein eid
suno ai des ke logo
ki ye jo iid kā din hai
agar pardes meñ aa.e
na ḳhushiyāñ paas hotī haiñ
na koī muskurātā hai
ḳhushī ġham se lipaTtī hai
udāsī muskurātī hai
suno ai des ke logo
tumhārī yaad aatī hai
hameñ phir yaad aatī haiñ
suhāne des kī yādeñ
vo bachpan aur javānī ke suhāne din
na pūchho kis tarah se ham
gharoñ kī baat karte aur phir aañsū chhupāte haiñ
bujhe dil muskurāte haiñ
suno ai des ke logo
hameñ shiddat se apnā daur-e-bachpan yaad aatā hai
hameñ maaoñ kī mīThī mīThī mamtā yaad aatī hai
hañsātī hai rulātī hai
tasallī ke liye ham ek duuje se ye kahte haiñ
dinoñ kī baat hai ham bhī vatan ko lauT jā.eñge
yaqīnan eid aglī apne apne ghar manāeñge
suno ai des ke logo
agar sach baat pūchho to
gharoñ ko
yaad karne se
koī fariyād karne se
thakan se chuur hone se
bahut majbūr hone se
kisī ko kuchh nahīñ miltā
koī dar bhī nahīñ khultā
suno ai des ke logo
ki ye jo id ka din hai
agar pardes mein aae
na KHushiyan pas hoti hain
na koi muskuraata hai
KHushi gham se lipaTti hai
udasi muskuraati hai
suno ai des ke logo
tumhaari yaad aati hai
hamein phir yaad aati hain
suhane des ki yaaden
wo bachpan aur jawani ke suhane din
na puchho kis tarah se hum
gharon ki baat karte aur phir aansu chhupate hain
bujhe dil muskuraate hain
suno ai des ke logo
hamein shiddat se apna daur-e-bachpan yaad aata hai
hamein maon ki miThi miThi mamta yaad aati hai
hansati hai rulati hai
tasalli ke liye hum ek duje se ye kahte hain
dinon ki baat hai hum bhi watan ko lauT jaenge
yaqinan eid agli apne apne ghar manaenge
suno ai des ke logo
agar sach baat puchho to
gharon ko
yaad karne se
koi fariyaad karne se
thakan se chur hone se
bahut majbur hone se
kisi ko kuchh nahin milta
koi dar bhi nahin khulta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.