prit ki holi
ab ke baras phāgun meñ kisī se aisī khelī holī sakhī
priit ke pakke rang se jis ne rang dī man kī cholī sakhī
darpan se jab nain mile to rah ga.ī maiñ bhī dang
priit se us kī aur huā thā sundar mukh kā rang
sakhiyoñ ne jab bhed ye pūchhā laaj se kuchh na bolī sakhī
ab ke baras phāgun meñ kisī se aisī khelī holī sakhī
maañg meñ merī us ne bharā thā jis dam laal gulāl
sharm se us dam aur hue the mere gulābī gaal
us ne tab mere hoñToñ par pyaar kī madirā kholī sakhī
ab ke baras phāgun meñ kisī se aisī khelī holī sakhī
chhoḌ gayā vo jab se mujh ko us kī yaad satā.e
mujh birhan kā us bin kyā hai haal kahā na jaa.e
itnī der rahī maiñ sukh se jitnī der ko so lī sakhī
ab ke baras phāgun meñ kisī se aisī khelī holī sakhī
yaad kare hai us ko mere dil kī ik ik dhaḌkan
pairoñ meñ to paa.el taḌpe aur hāthoñ meñ kangan
DhūñDne us ko maiñ sapne meñ nagrī-nagrī Dolī sakhī
ab ke baras phāgun meñ kisī se aisī khelī holī sakhī
aisī abhāgan huuñ maiñ jis ko priit na aa.ī raas
chitā kī bhāñti mujh ko jalā.e piyā milan kī aas
bhed mirā mat kahnā kisī se dekh mirī ai bholī sakhī
ab ke baras phāgun meñ kisī se aisī khelī holī sakhī
ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi
prit ke pakke rang se jis ne rang di man ki choli sakhi
darpan se jab nain mile to rah gai main bhi dang
prit se us ki aur hua tha sundar mukh ka rang
sakhiyon ne jab bhed ye puchha laj se kuchh na boli sakhi
ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi
mang mein meri us ne bhara tha jis dam lal gulal
sharm se us dam aur hue the mere gulabi gal
us ne tab mere honTon par pyar ki madira kholi sakhi
ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi
chhoD gaya wo jab se mujh ko us ki yaad satae
mujh birhan ka us bin kya hai haal kaha na jae
itni der rahi main sukh se jitni der ko so li sakhi
ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi
yaad kare hai us ko mere dil ki ek ek dhaDkan
pairon mein to pael taDpe aur hathon mein kangan
DhunDne us ko main sapne mein nagri-nagri Doli sakhi
ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi
aisi abhagan hun main jis ko prit na aai ras
chita ki bhanti mujh ko jalae piya milan ki aas
bhed mera mat kahna kisi se dekh meri ai bholi sakhi
ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.