sham-e-hilal-e-eid
chāñd niklā hai ba-andāz-e-digar aaj kī shaam
bārish-e-nūr hai tā-hadd-e-nazar aaj kī shaam
zindagī nuur kī āġhosh meñ hai jalva-numā
kitnā masrūr hai har ek bashar aaj kī shaam
yuuñ to hotī hai haqīqat meñ har ik shaam hasīñ
rahmatoñ barkatoñ vaalī hai magar aaj kī shaam
misl-e-ḳhurshīd jabīnoñ pe haiñ sajdoñ ke nishāñ
qalb-e-momin huā mānind-e-qamar aaj kī shaam
haiñ ziyā-bār mohabbat ke sabhī naqsh-o-nigār
dil kī duniyā hai bahāroñ kā nagar aaj kī shaam
sūrat-e-kāhkashāñ ho ga.ī har rāhguzar
zarra zarra nazar aatā hai guhar aaj kī shaam
ahl-e-zar hī nahīñ muflis bhī haiñ shādāñ shādāñ
ġham-nasīboñ ko milā ġham se mafar aaj kī shaam
gulshan-e-dil meñ mahakte haiñ masarrat ke gulāb
le ke aa.ī hai mohabbat kī sahar aaj kī shaam
nāzish-e-rang-e-bahārāñ hai har ik nazzāra
kitnā rangīn hai andāz-e-nazar aaj kī shaam
chand nikla hai ba-andaz-e-digar aaj ki sham
barish-e-nur hai ta-hadd-e-nazar aaj ki sham
zindagi nur ki aaghosh mein hai jalwa-numa
kitna masrur hai har ek bashar aaj ki sham
yun to hoti hai haqiqat mein har ek sham hasin
rahmaton barkaton wali hai magar aaj ki sham
misl-e-KHurshid jabinon pe hain sajdon ke nishan
qalb-e-momin hua manind-e-qamar aaj ki sham
hain ziya-bar mohabbat ke sabhi naqsh-o-nigar
dil ki duniya hai bahaaron ka nagar aaj ki sham
surat-e-kahkashan ho gai har rahguzar
zarra zarra nazar aata hai guhar aaj ki sham
ahl-e-zar hi nahin muflis bhi hain shadan shadan
gham-nasibon ko mila gham se mafar aaj ki sham
gulshan-e-dil mein mahakte hain masarrat ke gulab
le ke aai hai mohabbat ki sahar aaj ki sham
nazish-e-rang-e-bahaaran hai har ek nazzara
kitna rangin hai andaz-e-nazar aaj ki sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.