diwangi rahe baqi
tū is tarah se mirī zindagī meñ shāmil hai
jahāñ bhī jā.ūñ ye lagtā hai terī mahfil hai
har ek rañg tire ruup kī jhalak le le
koī hañsī koī lahja koī mahak le le
ye āsmān ye taare ye rāste ye havā
har ek chiiz hai apnī jagah Thikāne se
ka.ī dinoñ se shikāyat nahīñ zamāne se
mirī talāsh tirī dilkashī rahe baaqī
ḳhudā kare ki ye dīvāngī rahe baaqī
tu is tarah se meri zindagi mein shamil hai
jahan bhi jaun ye lagta hai teri mahfil hai
har ek rang tere rup ki jhalak le le
koi hansi koi lahja koi mahak le le
ye aasman ye tare ye raste ye hawa
har ek chiz hai apni jagah Thikane se
kai dinon se shikayat nahin zamane se
meri talash teri dilkashi rahe baqi
KHuda kare ki ye diwangi rahe baqi
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 298)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.