mohabbat ho gai tum se
tumheñ ik baat kahnī thī
ijāzat ho to kah duuñ maiñ
ye bhīgā bhīgā sā mausam
ye titlī phuul aur shabnam
chamakte chāñd kī bāteñ
ye būñdeñ aur barsāteñ
ye kaalī raat kā āñchal
havā meñ nāchte bādal
dhaḌakte mausamoñ kā dil
mahaktī ḳhushbūoñ kā dil
ye sab jitne nazāre haiñ
kaho kis ke ishāre haiñ
sabhī bāteñ sunī tum ne
phir āñkheñ pher liiñ tum ne
maiñ tab jā kar kahīñ samjhā
ki tum ne kuchh nahīñ samjhā
maiñ qissa muḳhtasar kar ke
zarā nīchī nazar kar ke
ye kahtā huuñ abhī tum se
mohabbat ho ga.ī tum se
tumhein ek baat kahni thi
ijazat ho to kah dun main
ye bhiga bhiga sa mausam
ye titli phul aur shabnam
chamakte chand ki baaten
ye bunden aur barsaten
ye kali raat ka aanchal
hawa mein nachte baadal
dhaDakte mausamon ka dil
mahakti KHushbuon ka dil
ye sab jitne nazare hain
kaho kis ke ishaare hain
sabhi baaten suni tum ne
phir aankhen pher lin tum ne
main tab ja kar kahin samjha
ki tum ne kuchh nahin samjha
main qissa muKHtasar kar ke
zara nichi nazar kar ke
ye kahta hun abhi tum se
mohabbat ho gai tum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.