taj-mahal
sañg-e-marmar kī ḳhunuk bāñhoñ meñ
husn-e-ḳhvābīda ke aage mirī āñkheñ shal haiñ
guñg sadiyoñ ke tanāzur meñ koī boltā hai
vaqt jazbe ke tarāzū pe zar-o-sīm-o-javāhir kī taḌap taultā hai!
har na.e chāñd pe patthar vahī sach kahte haiñ
usī lamhe se damak uThte meñ un ke chehre
jis kī lau umr ga.e ik dil-e-shab-zād ko mahtāb banā aa.ī thii!
usī mahtāb kī ik narm kiran
sāñcha-e-sañg meñ Dhal paa.ī to
ishq rañg-e-abadiyyat se sar-afrāz huā
kyā ajab niiñd hai
jis ko chhū kar
jo bhī aatā hai khulī aañkh liye aatā hai
so chuke ḳhvāb-e-abad dekhne vaale kab ke
aur zamāna hai ki us ḳhvāb kī ta.abīr liye jaag rahā hai ab tak!
sang-e-marmar ki KHunuk banhon mein
husn-e-KHwabida ke aage meri aankhen shal hain
gung sadiyon ke tanazur mein koi bolta hai
waqt jazbe ke taraazu pe zar-o-sim-o-jawahir ki taDap taulta hai!
har nae chand pe patthar wahi sach kahte hain
usi lamhe se damak uThte mein un ke chehre
jis ki lau umr gae ek dil-e-shab-zad ko mahtab bana aai thi!
usi mahtab ki ek narm kiran
sancha-e-sang mein Dhal pai to
ishq rang-e-abadiyyat se sar-afraaz hua
kya ajab nind hai
jis ko chhu kar
jo bhi aata hai khuli aankh liye aata hai
so chuke KHwab-e-abad dekhne wale kab ke
aur zamana hai ki us KHwab ki tabir liye jag raha hai ab tak!
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.