andesha
Interesting Fact
This nazm is an extract from the book Dhoop Ka Dareecha . This would be amazing to note that even though this book was published in 1993, Jagjit Singh randomly picked this beautiful nazm from the then Urdu magazine “Shama”, way back before 1976 and made it part of his famous and path breaking album “The Unforgettable”, through which Jagjit blossomed in his career. Later, this song by Jagjit was also used in a successful movie “Grih Pravesh”.
baat niklegī to phir duur talak jā.egī
log be-vaj.h udāsī kā sabab pūchheñge
ye bhī pūchheñge ki tum itnī pareshāñ kyuuñ ho
jagmagāte hue lamhoñ se gurezāñ kyuuñ ho
uñgliyāñ uTTheñgī sūkhe hue bāloñ kī taraf
ik nazar dekheñge guzre hue sāloñ kī taraf
chūḌiyoñ par bhī ka.ī tanz kiye jā.eñge
kāñpte hāthoñ pe bhī fiqre kase jā.eñge
phir kaheñge ki hañsī meñ bhī ḳhafā hotī haiñ
ab to 'rūhī' kī namāzeñ bhī qazā hotī haiñ
log zālim haiñ har ik baat kā ta.ana deñge
bātoñ bātoñ meñ mirā zikr bhī le ā.eñge
in kī bātoñ kā zarā sā bhī asar mat lenā
varna chehre ke ta.assur se samajh jā.eñge
chāhe kuchh bhī ho savālāt na karnā un se
mere baare meñ koī baat na karnā un se
baat niklegī to phir duur talak jā.egī
baat niklegi to phir dur talak jaegi
log be-wajh udasi ka sabab puchhenge
ye bhi puchhenge ki tum itni pareshan kyun ho
jagmagate hue lamhon se gurezan kyun ho
ungliyan uTThengi sukhe hue baalon ki taraf
ek nazar dekhenge guzre hue salon ki taraf
chuDiyon par bhi kai tanz kiye jaenge
kanpte hathon pe bhi fiqre kase jaenge
phir kahenge ki hansi mein bhi KHafa hoti hain
ab to 'ruhi' ki namazen bhi qaza hoti hain
log zalim hain har ek baat ka tana denge
baaton baaton mein mera zikr bhi le aaenge
in ki baaton ka zara sa bhi asar mat lena
warna chehre ke tassur se samajh jaenge
chahe kuchh bhi ho sawalat na karna un se
mere bare mein koi baat na karna un se
baat niklegi to phir dur talak jaegi
- Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.