daricha-ha-e-KHayal
chāhtā huuñ ki bhuul jā.ūñ tumheñ
aur ye sab darīcha-hā-e-ḳhayāl
jo tumhārī hī samt khulte haiñ
band kar duuñ kuchh is tarah ki yahāñ
yaad kī ik kiran bhī aa na sake
chāhtā huuñ ki bhuul jā.ūñ tumheñ
aur ḳhud bhī na yaad aa.uuñ tumheñ
jaise tum sirf ik kahānī thiiñ
jaise maiñ sirf ik fasāna thā
chahta hun ki bhul jaun tumhein
aur ye sab daricha-ha-e-KHayal
jo tumhaari hi samt khulte hain
band kar dun kuchh is tarah ki yahan
yaad ki ek kiran bhi aa na sake
chahta hun ki bhul jaun tumhein
aur KHud bhi na yaad aaun tumhein
jaise tum sirf ek kahani thin
jaise main sirf ek fasana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.