meri pahli nazm
kyā bachche suljhe hote haiñ
jab geñd se uljhe hote haiñ
vo is liye mujh ko bhāte haiñ
din biite yaad dilāte haiñ
vo kitne hasīn basere the
jab duur ġhamoñ se Dere the
jo khel meñ haa.il hotā thā
nafrīn ke qābil hotā thā
har ik se ulajh kar rah jaanā
ruk ruk ke bahut kuchh kah jaanā
hañs denā bātoñ bātoñ par
barsāt kī kaalī rātoñ par
bādal kī subuk-raftārī par
bulbul kī āh-o-zārī par
aur sham.a kī lau kī garmī par
parvānoñ kī haT-dharmī par
duniyā ke dhande kyā jāneñ
āzād ye phande kyā jāneñ
ma.asūm fazā meñ rahte the
ham to ye samajh hī baiThe the
ḳhushiyoñ kā alam anjām nahīñ
duniyā meñ ḳhizāñ kā naam nahīñ
māhaul ne khāyā phir palTā
nāgāh taġhayyur aa jhapTā
aur us kī karam-farmā.ī se
hālāt kī ik añgḌā.ī se
aa pahuñche aise beḌoñ meñ
jo le ga.e hameñ thapeḌoñ meñ
bachpan ke suhāne saa.e the
saa.e meñ zarā sustā.e the
vo daur-e-muqaddas biit gayā
ye vaqt hī baazī jiit gayā
ab vaise mire hālāt nahīñ
vo chiiz nahīñ vo baat nahīñ
jiine kā safar ab dūbhar hai
har gaam pe sau sau Thokar hai
vo dil jo rūh-e-qarīna thā
āshāoñ kā ek ḳhazīna thā
is dil meñ nihāñ ab naale haiñ
tāroñ se ziyāda chhāle haiñ
jo hañsnā hañsānā hotā hai
rone ko chhupānā hotā hai
koī ġhuncha dil meñ khiltā hai
thoḌā sā sukūñ jab miltā hai
ġham tez qadam phir bhartā hai
ḳhushiyoñ kā ta.āqub kartā hai
maiñ sochtā rahtā huuñ yūñhī
āḳhir ye tafāvut kyā ma.anī
ye soch ajab taḌpātī hai
ā.ankhoñ meñ namī bhar jaatī hai
phir mujh se dil ye kahtā hai
maazī ko tū rotā rahtā hai
kuchh aa.heñ dabī sī rahne de
kuchh aañsū baaqī rahne de
ye haal bhī maazī honā hai
is par bhī tujhe kuchh ronā hai
kya bachche suljhe hote hain
jab gend se uljhe hote hain
wo is liye mujh ko bhate hain
din bite yaad dilate hain
wo kitne hasin basere the
jab dur ghamon se Dere the
jo khel mein hail hota tha
nafrin ke qabil hota tha
har ek se ulajh kar rah jaana
ruk ruk ke bahut kuchh kah jaana
hans dena baaton baaton par
barsat ki kali raaton par
baadal ki subuk-raftari par
bulbul ki aah-o-zari par
aur shama ki lau ki garmi par
parwanon ki haT-dharmi par
duniya ke dhande kya jaanen
aazad ye phande kya jaanen
masum faza mein rahte the
hum to ye samajh hi baiThe the
KHushiyon ka alam anjam nahin
duniya mein KHizan ka nam nahin
mahaul ne khaya phir palTa
nagah taghayyur aa jhapTa
aur us ki karam-farmai se
haalat ki ek angDai se
aa pahunche aise beDon mein
jo le gae hamein thapeDon mein
bachpan ke suhane sae the
sae mein zara sustae the
wo daur-e-muqaddas bit gaya
ye waqt hi bazi jit gaya
ab waise mere haalat nahin
wo chiz nahin wo baat nahin
jine ka safar ab dubhar hai
har gam pe sau sau Thokar hai
wo dil jo ruh-e-qarina tha
aashaon ka ek KHazina tha
is dil mein nihan ab nale hain
taron se ziyaada chhaale hain
jo hansna hansana hota hai
rone ko chhupana hota hai
koi ghuncha dil mein khilta hai
thoDa sa sukun jab milta hai
gham tez qadam phir bharta hai
KHushiyon ka taaqub karta hai
main sochta rahta hun yunhi
aaKHir ye tafawut kya mani
ye soch ajab taDpati hai
aaankhon mein nami bhar jati hai
phir mujh se dil ye kahta hai
mazi ko tu rota rahta hai
kuchh aahen dabi si rahne de
kuchh aansu baqi rahne de
ye haal bhi mazi hona hai
is par bhi tujhe kuchh rona hai
- Book : ik daraicha ik chirag (Pg. 174)
- Author : ANWAR MASOOD
- Publication : Dost Publications (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.