mujhse pahle
mujh se pahle tujhe jis shaḳhs ne chāhā us ne
shāyad ab bhī tirā ġham dil se lagā rakkhā ho
ek be-nām sī ummīd pe ab bhī shāyad
apne ḳhvāboñ ke jazīroñ ko sajā rakkhā ho
maiñ ne maanā ki vo begāna-e-paimān-e-vafā
kho chukā hai jo kisī aur kī ra.anā.ī meñ
shāyad ab lauT ke aa.e na tirī mahfil meñ
aur koī dukh na rulā.e tujhe tanhā.ī meñ
maiñ ne maanā ki shab o roz ke hañgāmoñ meñ
vaqt har ġham ko bhulā detā hai rafta rafta
chāhe ummīd kī sham.eñ hoñ ki yādoñ ke charāġh
mustaqil bo.ad bujhā detā hai rafta rafta
phir bhī maazī kā ḳhayāl aatā hai gāhe-gāhe
muddateñ dard kī lau kam to nahīñ kar saktīñ
zaḳhm bhar jaa.eñ magar daaġh to rah jaatā hai
dūriyoñ se kabhī yādeñ to nahīñ mar saktīñ
ye bhī mumkin hai ki ik din vo pashīmāñ ho kar
tere paas aa.e zamāne se kinārā kar le
tū ki ma.asūm bhī hai zūd-farāmosh bhī hai
us kī paimāñ-shikanī ko bhī gavārā kar le
aur maiñ jis ne tujhe apnā masīhā samjhā
ek zaḳhm aur bhī pahle kī tarah sah jā.ūñ
jis pe pahle bhī ka.ī ahd-e-vafā TuuTe haiñ
isī do-rāhe pe chup-chāp khaḌā rah jā.ūñ
mujh se pahle tujhe jis shaKHs ne chaha us ne
shayad ab bhi tera gham dil se laga rakkha ho
ek be-nam si ummid pe ab bhi shayad
apne KHwabon ke jaziron ko saja rakkha ho
main ne mana ki wo begana-e-paiman-e-wafa
kho chuka hai jo kisi aur ki ranai mein
shayad ab lauT ke aae na teri mahfil mein
aur koi dukh na rulae tujhe tanhai mein
main ne mana ki shab o roz ke hangamon mein
waqt har gham ko bhula deta hai rafta rafta
chahe ummid ki shamen hon ki yaadon ke charagh
mustaqil boad bujha deta hai rafta rafta
phir bhi mazi ka KHayal aata hai gahe-gahe
muddaten dard ki lau kam to nahin kar saktin
zaKHm bhar jaen magar dagh to rah jata hai
duriyon se kabhi yaaden to nahin mar saktin
ye bhi mumkin hai ki ek din wo pashiman ho kar
tere pas aae zamane se kinara kar le
tu ki masum bhi hai zud-faramosh bhi hai
us ki paiman-shikani ko bhi gawara kar le
aur main jis ne tujhe apna masiha samjha
ek zaKHm aur bhi pahle ki tarah sah jaun
jis pe pahle bhi kai ahd-e-wafa TuTe hain
isi do-rahe pe chup-chap khaDa rah jaun
- Book : kulliyat-e-ahmad Faraz (Pg. 351)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.