o des se aane wale bata
o des se aane vaalā hai batā
o des se aane vaale batā
kis haal meñ haiñ yārān-e-vatan
āvāra-e-ġhurbat ko bhī sunā
kis rañg meñ hai kan.ān-e-vatan
vo bāġh-e-vatan firdaus-e-vatan
vo sarv-e-vatan raihān-e-vatan
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī vahāñ ke bāġhoñ meñ
mastāna havā.eñ aatī haiñ
kyā ab bhī vahāñ ke parbat par
ghanghor ghaTā.eñ chhātī haiñ
kyā ab bhī vahāñ kī barkhā.eñ
vaise hī diloñ ko bhātī haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī vatan meñ vaise hī
sarmast nazāre hote haiñ
kyā ab bhī suhānī rātoñ ko
vo chāñd sitāre hote haiñ
ham khel jo khelā karte the
kyā ab vahī saare hote haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī shafaq ke sāyoñ meñ
din raat ke dāman milte haiñ
kyā ab bhī chaman meñ vaise hī
ḳhush-rañg shagūfe khilte haiñ
barsātī havā kī lahroñ se
bhīge hue paude hilte haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
shādāb-o-shagufta phūloñ se
ma.amūr haiñ gulzār ab ki nahīñ
bāzār meñ mālan laatī hai
phūloñ ke guñdhe haar ab ki nahīñ
aur shauq se TuuTe paḌte haiñ
nau-umr ḳharīdār ab ki nahīñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā shaam paḌe galiyoñ meñ vahī
dilchasp añdherā hotā hai
aur saḌkoñ kī dhundlī sham.oñ par
sāyoñ kā baserā hotā hai
bāġhoñ kī ghanerī shāḳhoñ meñ
jis tarah saverā hotā hai
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī vahāñ vaisī hī javāñ
aur madh-bharī rāteñ hotī haiñ
kyā raat bhar ab bhī gītoñ kī
aur pyaar kī bāteñ hotī haiñ
vo husn ke jaadū chalte haiñ
vo ishq kī ghāteñ hotī haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
mīrāniyoñ ke āġhosh meñ hai
ābād vo bāzār ab ki nahīñ
talvāreñ baġhal meñ daabe hue
phirte haiñ trahdār ab ki nahīñ
aur bahliyoñ meñ se jhāñkte haiñ
turkān-e-siyah-kār ab ki nahīñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī mahakte mandir se
nāqūs kī āvāz aatī hai
kyā ab bhī muqaddas masjid par
mastāna azaañ tharrātī hai
aur shaam ke rañgīñ sāyoñ par
azmat kī jhalak chhā jaatī hai
o des se aane vaale batā
o des se aane vaalā batā
kyā ab bhī vahāñ ke panghaT par
panhāriyāñ paanī bhartī haiñ
añgḌā.ī kā naqsha ban ban kar
sab māthe pe gāgar dhartī haiñ
aur apne gharoñ ko jaate hue
hañstī huī चुहलें kartī haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
barsāt ke mausam ab bhī vahāñ
vaise hī suhāne hote haiñ
kyā ab bhī vahāñ ke bāġhoñ meñ
jhūle aur gaane hote haiñ
aur duur kahīñ kuchh dekhte hī
nau-umr dīvāne hote haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī pahāḌī choTiyoñ par
barsāt ke bādal chhāte haiñ
kyā ab bhī havā-e-sāhil ke
vo ras bhare jhoñke aate haiñ
aur sab se ūñchī Tīkrī par
log ab bhī tarāne gaate haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī pahāḌī ghāTiyoñ meñ
ghanghor ghaTā.eñ gūñjtī haiñ
sāhil ke ghanere peḌoñ meñ
barkhā kī havā.eñ gūñjtī haiñ
jheñgur ke tarāne jāgte haiñ
moroñ kī sadā.eñ gūñjtī haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī vahāñ meloñ meñ vahī
barsāt kā jauban hotā hai
phaile hue baḌ kī shāḳhoñ meñ
jhūloñ kā nasheman hotā hai
umDe hue bādal hote haiñ
chhāyā huā sāvan hotā hai
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā shahr ke gird ab bhī hai ravāñ
dariyā-e-hasīñ lahrā.e hue
juuñ god meñ apne man ko liye
nāgin ho koī tharrā.e hue
yā nuur kī hañsulī huur kī gardan
meñ ho ayaañ bil khaa.e hue
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī fazā ke dāman meñ
barkhā ke samay lahrāte haiñ
kyā ab bhī kanār-e-dariyā par
tūfān ke jhoñke aate haiñ
kyā ab bhī añdherī rātoñ meñ
mallāh tarāne gaate haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī vahāñ barsāt ke din
bāġhoñ meñ bahāreñ aatī haiñ
ma.asūm o hasīñ doshīzā.eñ
barkhā ke tarāne gaatī haiñ
aur tītriyoñ kī tarah se rañgīñ
jhūloñ par lahrātī haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī ufuq ke siine par
shādāb ghaTā.eñ jhūmtī haiñ
dariyā ke kināre bāġhoñ meñ
mastāna havā.eñ jhūmtī haiñ
aur un ke nashīle jhoñkoñ se
ḳhāmosh fazā.eñ jhūmtī haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā shaam ko ab bhī jaate haiñ
ahbāb kanār-e-dariyā par
vo peḌ ghanere ab bhī haiñ
shādāb kanār-e-dariyā par
aur pyaar se aa kar jhāñktā hai
mahtāb kanār-e-dariyā par
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā aam ke ūñche peḌoñ par
ab bhī vo papīhe bolte haiñ
shāḳhoñ ke harīrī pardoñ meñ
naġhmoñ ke ḳhazāne gholte haiñ
sāvan ke rasīle gītoñ se
tālāb meñ amras gholte haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā pahlī sī hai ma.asūm abhī
vo madrase kī shādāb fazā
kuchh bhūle hue din guzre haiñ
jis meñ vo misāl-e-ḳhvāb fazā
vo khel vo ham-sin vo maidāñ
vo ḳhvāb-gah-e-mahtāb fazā
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī kisī ke siine meñ
baaqī hai hamārī chaah batā
kyā yaad hameñ bhī kartā hai
ab yāroñ meñ koī aah batā
o des se aane vaale batā
lillāh batā lillāh batā
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ham ko vatan ke bāġhoñ kī
mastāna fazā.eñ bhuul ga.iiñ
barkhā kī bahāreñ bhuul ga.iiñ
sāvan kī ghaTā.eñ bhuul ga.iiñ
dariyā ke kināre bhuul ga.e
jañgal kī havā.eñ bhuul ga.iiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā gaañv meñ ab bhī vaisī hī
mastī-bharī rāteñ aatī haiñ
dehāt kī kamsin māh-vasheñ
tālāb kī jānib jaatī haiñ
aur chāñd kī saada raushnī meñ
rañgīn tarāne gaatī haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī gajar-dam charvāhe
revaḌ ko churāne jaate haiñ
aur shaam ke dhuñdle sāyoñ ke
hamrāh gharoñ ko aate haiñ
aur apnī rasīlī bāñsuriyoñ
meñ ishq ke naġhme gaate haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā gaañv pe ab bhī sāvan meñ
barkhā kī bahāreñ chhātī haiñ
ma.asūm gharoñ se bhor-bhai.e
chakkī kī sadā.eñ aatī haiñ
aur yaad meñ apne maike kī
bichhḌī huī sakhiyāñ gaatī haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
dariyā kā vo ḳhvāb-ālūda sā ghaaT
aur us kī fazā.eñ kaisī haiñ
vo gaañv vo manzar vo tālāb
aur us kī havā.eñ kaisī haiñ
vo khet vo jañgal vo chiḌiyāñ
aur un kī sadā.eñ kaisī haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī purāne khañDaroñ par
tārīḳh kī ibrat taarī hai
annpūrnā ke ujḌe mandir par
māyūsī-o-hasrat taarī hai
sunsān gharoñ par chhāvnī ke
vīrānī o riqqat taarī hai
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
āḳhir meñ ye hasrat hai ki batā
vo ġhārat-e-īmāñ kaisī hai
bachpan meñ jo aafat Dhātī thī
vo āfat-e-daurāñ kaisī hai
ham donoñ the jis ke parvāne
vo sham-e-shabistāñ kaisī hai
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
marjāna thā jis kā naam batā
vo ġhuncha-dahan kis haal meñ hai
jis par the fidā tiflān-e-vatan
vo jān-e-vatan kis haal meñ hai
vo sarv-e-chaman vo rashk-e-saman
vo sīm-badan kis haal meñ hai
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī ruḳh-e-gulrang pe vo
jannat ke nazāre raushan haiñ
kyā ab bhī rasīlī āñkhoñ meñ
sāvan ke sitāre raushan haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
kyā ab bhī shahābī aariz par
gesū-e-siyah bil khāte haiñ
yā bahr-e-shafaq kī maujoñ par
do naag paḌe lahrāte haiñ
aur jin kī jhalak se sāvan kī
rātoñ ke sapne aate haiñ
o des se aane vaale batā
o des se aane vaale batā
ab nām-e-ḳhudā hogī vo javāñ
maike meñ hai yā sasurāl ga.ī
doshīza hai yā aafat meñ use
kam-baḳht javānī Daal ga.ī
ghar par hī rahī yā ghar se ga.ī
ḳhush-hāl rahī ḳhush-hāl ga.ī
o des se aane vaale batā
o des se aane wala hai bata
o des se aane wale bata
kis haal mein hain yaran-e-watan
aawara-e-ghurbat ko bhi suna
kis rang mein hai kanan-e-watan
wo bagh-e-watan firdaus-e-watan
wo sarw-e-watan raihan-e-watan
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi wahan ke baghon mein
mastana hawaen aati hain
kya ab bhi wahan ke parbat par
ghanghor ghaTaen chhati hain
kya ab bhi wahan ki barkhaen
waise hi dilon ko bhati hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi watan mein waise hi
sarmast nazare hote hain
kya ab bhi suhani raaton ko
wo chand sitare hote hain
hum khel jo khela karte the
kya ab wahi sare hote hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi shafaq ke sayon mein
din raat ke daman milte hain
kya ab bhi chaman mein waise hi
KHush-rang shagufe khilte hain
barsati hawa ki lahron se
bhige hue paude hilte hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
shadab-o-shagufta phulon se
mamur hain gulzar ab ki nahin
bazar mein malan lati hai
phulon ke gundhe haar ab ki nahin
aur shauq se TuTe paDte hain
nau-umr KHaridar ab ki nahin
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya sham paDe galiyon mein wahi
dilchasp andhera hota hai
aur saDkon ki dhundli shamon par
sayon ka basera hota hai
baghon ki ghaneri shaKHon mein
jis tarah sawera hota hai
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi wahan waisi hi jawan
aur madh-bhari raaten hoti hain
kya raat bhar ab bhi giton ki
aur pyar ki baaten hoti hain
wo husn ke jadu chalte hain
wo ishq ki ghaten hoti hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
miraniyon ke aaghosh mein hai
aabaad wo bazar ab ki nahin
talwaren baghal mein dabe hue
phirte hain trahdar ab ki nahin
aur bahliyon mein se jhankte hain
turkan-e-siyah-kar ab ki nahin
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi mahakte mandir se
naqus ki aawaz aati hai
kya ab bhi muqaddas masjid par
mastana azan tharraati hai
aur sham ke rangin sayon par
azmat ki jhalak chha jati hai
o des se aane wale bata
o des se aane wala bata
kya ab bhi wahan ke panghaT par
panhaariyan pani bharti hain
angDai ka naqsha ban ban kar
sab mathe pe gagar dharti hain
aur apne gharon ko jate hue
hansti hui चुहलें karti hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
barsat ke mausam ab bhi wahan
waise hi suhane hote hain
kya ab bhi wahan ke baghon mein
jhule aur gane hote hain
aur dur kahin kuchh dekhte hi
nau-umr diwane hote hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi pahaDi choTiyon par
barsat ke baadal chhate hain
kya ab bhi hawa-e-sahil ke
wo ras bhare jhonke aate hain
aur sab se unchi Tikri par
log ab bhi tarane gate hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi pahaDi ghaTiyon mein
ghanghor ghaTaen gunjti hain
sahil ke ghanere peDon mein
barkha ki hawaen gunjti hain
jhengur ke tarane jagte hain
moron ki sadaen gunjti hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi wahan melon mein wahi
barsat ka jauban hota hai
phaile hue baD ki shaKHon mein
jhulon ka nasheman hota hai
umDe hue baadal hote hain
chhaya hua sawan hota hai
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya shahr ke gird ab bhi hai rawan
dariya-e-hasin lahrae hue
jun god mein apne man ko liye
nagin ho koi tharrae hue
ya nur ki hansuli hur ki gardan
mein ho ayan bil khae hue
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi faza ke daman mein
barkha ke samay lahraate hain
kya ab bhi kanar-e-dariya par
tufan ke jhonke aate hain
kya ab bhi andheri raaton mein
mallah tarane gate hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi wahan barsat ke din
baghon mein bahaaren aati hain
masum o hasin doshizaen
barkha ke tarane gati hain
aur titriyon ki tarah se rangin
jhulon par lahraati hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi ufuq ke sine par
shadab ghaTaen jhumti hain
dariya ke kinare baghon mein
mastana hawaen jhumti hain
aur un ke nashile jhonkon se
KHamosh fazaen jhumti hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya sham ko ab bhi jate hain
ahbab kanar-e-dariya par
wo peD ghanere ab bhi hain
shadab kanar-e-dariya par
aur pyar se aa kar jhankta hai
mahtab kanar-e-dariya par
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya aam ke unche peDon par
ab bhi wo papihe bolte hain
shaKHon ke hariri pardon mein
naghmon ke KHazane gholte hain
sawan ke rasile giton se
talab mein amras gholte hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya pahli si hai masum abhi
wo madrase ki shadab faza
kuchh bhule hue din guzre hain
jis mein wo misal-e-KHwab faza
wo khel wo ham-sin wo maidan
wo KHwab-gah-e-mahtab faza
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi kisi ke sine mein
baqi hai hamari chah bata
kya yaad hamein bhi karta hai
ab yaron mein koi aah bata
o des se aane wale bata
lillah bata lillah bata
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya hum ko watan ke baghon ki
mastana fazaen bhul gain
barkha ki bahaaren bhul gain
sawan ki ghaTaen bhul gain
dariya ke kinare bhul gae
jangal ki hawaen bhul gain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ganw mein ab bhi waisi hi
masti-bhari raaten aati hain
dehat ki kamsin mah-washen
talab ki jaanib jati hain
aur chand ki sada raushni mein
rangin tarane gati hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi gajar-dam charwahe
rewaD ko churane jate hain
aur sham ke dhundle sayon ke
hamrah gharon ko aate hain
aur apni rasili bansuriyon
mein ishq ke naghme gate hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ganw pe ab bhi sawan mein
barkha ki bahaaren chhati hain
masum gharon se bhor-bhaie
chakki ki sadaen aati hain
aur yaad mein apne maike ki
bichhDi hui sakhiyan gati hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
dariya ka wo KHwab-aluda sa ghaT
aur us ki fazaen kaisi hain
wo ganw wo manzar wo talab
aur us ki hawaen kaisi hain
wo khet wo jangal wo chiDiyan
aur un ki sadaen kaisi hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi purane khanDaron par
tariKH ki ibrat tari hai
annpurna ke ujDe mandir par
mayusi-o-hasrat tari hai
sunsan gharon par chhawni ke
virani o riqqat tari hai
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
aaKHir mein ye hasrat hai ki bata
wo ghaarat-e-iman kaisi hai
bachpan mein jo aafat Dhati thi
wo aafat-e-dauran kaisi hai
hum donon the jis ke parwane
wo sham-e-shabistan kaisi hai
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
marjaana tha jis ka nam bata
wo ghuncha-dahan kis haal mein hai
jis par the fida tiflan-e-watan
wo jaan-e-watan kis haal mein hai
wo sarw-e-chaman wo rashk-e-saman
wo sim-badan kis haal mein hai
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi ruKH-e-gulrang pe wo
jannat ke nazare raushan hain
kya ab bhi rasili aankhon mein
sawan ke sitare raushan hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
kya ab bhi shahabi aariz par
gesu-e-siyah bil khate hain
ya bahr-e-shafaq ki maujon par
do nag paDe lahraate hain
aur jin ki jhalak se sawan ki
raaton ke sapne aate hain
o des se aane wale bata
o des se aane wale bata
ab nam-e-KHuda hogi wo jawan
maike mein hai ya sasural gai
doshiza hai ya aafat mein use
kam-baKHt jawani Dal gai
ghar par hi rahi ya ghar se gai
KHush-haal rahi KHush-haal gai
o des se aane wale bata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.