samundar
lafz bahut se
jag-mag jag-mag karte taare
chāñd nahīñ banñe paate haiñ
raat gale meñ phañs jaatī hai
jazbe kitne
baurā.ī alhaḌ ḳhushbueñ
phuul nahīñ banñe paatī haiñ
zaat gale meñ phañs jaatī hai
lekin aksar
terī yādeñ
terā chehrā ban kar aa.iiñ
jag-mag jag-mag karte taare
baurā.ī alhaḌ ḳhushbueñ
chāñd jale rahte haiñ shab bhar
phuul khile rahte haiñ shab bhar
raat samundar ban jaatī hai
zaat samundar ban jaatī hai
lafz bahut se
jag-mag jag-mag karte tare
chand nahin banne pate hain
raat gale mein phans jati hai
jazbe kitne
baurai alhaD KHushbuen
phul nahin banne pati hain
zat gale mein phans jati hai
lekin aksar
teri yaaden
tera chehra ban kar aain
jag-mag jag-mag karte tare
baurai alhaD KHushbuen
chand jale rahte hain shab bhar
phul khile rahte hain shab bhar
raat samundar ban jati hai
zat samundar ban jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.